Ashii
Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0
Location:
France, France
khabar e tahayyar e ishq sunn
na junoon raha, na pari rahi
na to tu raha, na to me raha
jo rahi so bekhabari rahi
sheh bekhudi ne ataa kiya
mujhe ab libaas e barhnagi
na khird ki bakhiya giri rahi
na junoon ki parda dari rahi
chali simt e ghaeb se kya hawa
k chaman zuhoor ka jal gaya
magar aik shaakh e nihal e gham
jisse dil kahein so hari rahi
nazar e tagafl e yaar ka
gila kiss zuban se bayan karu
k sharaab e sadd qad'h e aarzu
khum e dil mei thi so bhari rahi
woh ajab ghari thi k me jiss ghari
liya dars nuskha e ishq ka
k kitaab akl ki taaq mei
jyun dhari thi tyunhi dhari rahi
tere josh e hairat e husn ka
asr iss kadar se yahan hua
k na a'eena mei rahi jila
na pari kuu jalwa gari rahi
kiya khaak aatish e ishq ne
dil e benawa e Siraj kuu
na khatar raha, na hazar raha
magar aik be-khatari rahi
Sy Siraj Orangabadi (18th C)