Hamain aaker mana lena kisi bhe kaam se pehley
Udasi thehar jati hey tumhare naam se pehley
Kahan bichrha hoa koi safar kay baad milta hey
Hamain mil kar hi jana tum safar ki shaam se pehley
Yahi taarey teri aankhon ki chilman mein rehtey they
Yahi soraj nikalta tha, tumharey baam se pehley
Meri aankhon ko teri ungliyon kion aram aadat hey
Ye aankhen so he jati theen barey aaram se pehley
Teri aankhon ko dekha to faqt itna khyaal aaya
guzara kis tarha jewan saloney jam sey pehley ,
Dilon mein phool khiltey hein tumhare naam se pehley
Laho mein deep jaltey hein tumharey naam sey pehley
Dilon ki jagmagati bastiyan aitraz kartey hein
Wohi jo log lagtey hein nihayat aam se pehley
Hua hey wo agar munsif, to Amjad ehtiatan hum
Saza tajweez kartey hein kisi anjam se pehley
ALLAH HAMI O NASIR.............................hkb