alizaidi
Age: 125
Total Posts: 37
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
MAIN SHOHAR NUMBER 420.
Main Shohar Number 420
Khirki se bahar deikhta hoon
rang birangi larkiyon ko,
paas se guzarte deikhta hoon.
unke shokh kaprey, unki tight jeans,
mujhe jawani ki yaad dilati hain
unka chalne ka andaz, unki patli kamar
mere seenay ki aag bharkaati hain.
wo kehte hain yeh teri umar nahi Ishq karne ki
phir kyun larkiyan muhje paas bulati hain
wo kehte hain tera waqt guzar chuka
phir kyun wo meri neendein uraati hain.
Main Shohar Number 420
Khirki se bahar deikhta hoon
Mere saamne waali chhat par,
aik larki ko khara deikhta hoon.
roz chhat pe wo aati hai
apni zulfon ko lehrati hai
uski adaayen deikh kar,
kuchh karne ko jee karta hai.
uske gulabi honton par,
aaj marne ko jee karta hai
ankhon hi ankhon mein isharon se,
baat karne ko jee karta ha.
wo kehte hain yeh kaam chhoR de
phir kyun khud yehi kaam karte hain
wo kehte hain Biwi ko cheat na kar
phir kyun khud cheating karte hain.
Main Shohar Number 420
Khirki se bahar deikhta hoon
Frankenstein
Age: 125
7455 days old here
Total Posts: 6323
Points: 0
Location:
Faroe Islands, Faroe Islands
kia rangee mizagi hai..lolz
shohar number char so bees ko
Frankenstein ka welcome pohanchay
how u got this title..u mustve cheated
on yer wife
alizaidi
Age: 125
7181 days old here
Total Posts: 37
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
nab aap ky liy ak kalam
hiiiiiiiiiiiiiii kiya hal hy aap kahan ho janab na ata napata kiy ahoi ham sy khta ????? kush rahooooooo
Kya-kya khayaal jee se guzarte haiN subah-o-shaam
zakhm naye dil meiN ubharte hain subah-o-shaam
sadiyaaN guzar gayiiN haiN tumheiN bewafaa hue
hum yaad tumheiN aaj bhi karte haiN subah-o-shaam
reh-reh ke ,chauNk-chauNk ke maiN neeNd se jaaguN
ban-ban ke mere sapne bikharte haiN subah-o-shaam
jab-jab teri yaadon ki ghaTaa dil pe chhaayi hai
baadal meri aaNkhoN ke baraste haiN subah-o-shaam
pal-pal maiN dekhta huuN uTh ke raahguzar ko
naina teri aamad ko taraste haiN subah-o-shaam
mat poochiye kya aalam-e-khwaab-o-ummiid hai
aNgaar se seene meiN dehakte haiN subah-o-shaam
ik baar chhuaa tha tere phuuloN se badan ko
ke haath ab bhi mehakte haiN subah-o-shaam