juz tere koi bhi din raat na jaane mere tu kahan hai magar aae dost puraane mere
tu bhi khushbu hai magar mera tajassus bekaar bark e avaara ki manind thikaane mere
shama ki lau thi k woh tu tha,, magar hijr ki raat deir tak rota raha koi sirhaane mere
khalq ki behkhabari hai k meri rusvaee log mujh ko hi sunaate hein fasaane mere lutt k bhi khush hu k ashkon se bhara hai daaman dekh gaarat gare dil yeh bhi khazaane mere
aaj ik aur baras beet gayaa uss k bagair jiss k hote hue hote the zamaane mere kaash tu bhi meri avaaz suntaa ho phir pukaara hai tujhe dil ki sadaa ne mere
kaash tu bhi kabhi aa jaae maseehai ko log aate hein bohot dil ko dukhaane mere kaash auron ki tarha me bhi keh saktaa baat sunn li hai meri aaj Khuda ne mere
tu hai kis haal mei aae zuud faramosh mere mujh ko to cheen liya ehd e wafa ne mere chaaragar yun to bohot hein magar aae jaan e Faraz juz tere aur koi gham na jaane mere