tumhain milain kabhi fursatein merey dil sey boojh utar doo main bohat dinoo sey udas hon mujhay koi shaam udhar doo mujhay apney roop ki dhoop do key chamak sakein merey khaal-o-khat mujhay apney rang main rang doo mera sara zang uthar doo kissi or ko merey haal sey na gharz hai na koi wasta main bikhar gaya hon sameet lo main bikhar gaya hon sanbhaal lo wahan gher main kon hai muntazir key ho fikr dair saweer ki bari mukhtasir si yeh raat hai issey chandni mein gusaar do koi baat kerni hai chand sey kissi shakhsaar ki ooth mein mujhay raastey mein yahin kahin kissi jangle main utaar do
Age: 124
6839 days old here
Total Posts: 211
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
jin khawahishoon ko dekhta rehta tha khawab mein ab likh raha hon in ko haqeeqat key khawab mein ab jheel key kinarey parindoon key darmiyaan souraj ko hotey dekha hai tehleel mein khawabon peh ikhtiyaar na yadoon peh zoor hai kab zindagi guzar di apney hisaab mein ik haath us ka jaal mein patwar eik mein or doobta wajood seeney aab mein purwai chal key or bhi wehshat berha gai halki si aai thi kami izteraab mein
Age: 124
6839 days old here
Total Posts: 211
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Na sawal ban kay mila karoo, na jawab ban kay mila karo Meri zindagi meray khuwab hain, Mujhay khuwab ban kay mila karo Mujhay achay log buhat milay main un kay qaraz say mer gaya Jo ho sakay to kabhi kabhi mujhay kharab ban kay mila karo
Age: 124
6839 days old here
Total Posts: 211
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Kia poochtay hoo hijir mai kia kiya kartay hain Teray loot aanay ki din raat dua kartay hain Kabhi yadoon mai tujhay bahoon mai bhar laytay hain Kabhi khuwaboo mai choom liya kartay