Forums
Poetry Cafe (URDU)
POETRY
Reply to Topic
heart_hacker
Age: 30
Total Posts: 5671
Points: 0
Location:
rawalpindi, Pakistan
heart_hacker
Age: 30
8126 days old here
Total Posts: 5671
Points: 0
Location:
rawalpindi, Pakistan
Chalnay ka Hausla nahi, Rukna muhaaL kar diya Ishq kay is safar nay to Mujh ko Nidhaal kar diya Mumkina Faislon mein aik Hijr ka Faisla bhi tha Hum nay to aik baat ki, us nay KamaaL kar diya ! (Parween Shakir) ******************************** Zindagi ke daman-e-hairat mein ye manzar bhi tha Jiske paas ayena tha wo Shakhs be-Jauhar bhi tha Main kay sari umr jalwon ke ta`aqub mein raha Ik Jahan-e-Husn meri ankh ke andar bhi tha (Aasi Karnaali) ******************************** Bahut Maheen tha Pardah larazti palkon ka Mujhay Chhupaya bhi tu nay mujhay dikhaya bhi Beyaaz bhar bhi gayee aur phir bhi Sadah hay Tumharay naam ko likha bhi aur mitaya bhi (Happy Anniversary Faiz Ahmed Faiz) ******************************** Ye Qurb kya hay kay tu saamnay hay aur hamein Shumaar abhi say Judai ki sa-atein karni Milein jab un say to mubham si guftugo karni Phir apnay aap say sau sau Vazaahatein karni Hum apnay Dil say hain Majboor aur logon ko Zara si baat pay barpa Qayamatein karni..
heart_hacker
Age: 30
8126 days old here
Total Posts: 5671
Points: 0
Location:
rawalpindi, Pakistan
Kahin Tum Apni qismat Ka Likha Tabdeel Kar Letay To Shaed Hum Bhi Apna Rasta Tabdeel Kar Letay Agar Hum Waqiaa Kam Hoslaa Hotay Muhabbat Mein Marz Bharne Se Pehlay Dawa Tabdeel Kar Letay Tumharay Sath Chalne Per Jo Dil Raazi Nahin Hota Bohat Pehlay Hum Apna Faisala Tabdeel Kar Letay Tumhari Tarah Jeenay Ka Hunar Aata to Phir Shayad Makaan Apna wohi Rakhtay Pata Tabdeel Kar Letay Judaai Bhi Na Hoti Zindagi Bhi Sahal Ho Jati Jo Ek Dusray Se Masla Tabdeel Kar Letay Bohat Dundlaa Gaya Hai Yaadoon Ki Rim Jhim Mein Dil Saada Woh Mil Jata To Hum Bhi Aaina Tabdeel Kar Letay
heart_hacker
Age: 30
8126 days old here
Total Posts: 5671
Points: 0
Location:
rawalpindi, Pakistan
yaadon ke sailabon main doob jaana yaad hai choti choti baaton ko sunna sunana yaad hai patjhad main bhi lagta tha mausam baharon ka tumhare intezaar main waqt bitana yaad hai thakti nahi thi aankhen dekh dekh rasta naye bahane banake der se tumhara aana yaad hai kushboo main hawa ki dhoondna tumhari mehak baarish ki boondon main apne ashka milana yaad hai kabhi saath baithe baithe yuhi waqt bita dena kabhi meri har baat par tumhara muskuraana yaad hai kabhi bin bataye tumhaara sab kuch keh dena kabhi keh ke bhi baat chupana yaad hai kuch sunna chahte the hum tumse par tumhara na keh paana yaad hai abhi to mile bhi nahi the raaste humare yun ek mod par raahon ka mud jaana yaad hai chaha tha ek kahani bane humari magar panno ka achanak bikhar jaana yaad hai kahanni na sahi afsana to ban gaya is afsaane ka har fasana mujhe yaad hai.
new_beau
Age: 124
7835 days old here
Total Posts: 10168
Points: 0
Location:
United Arab Emirates, United Arab Emirates
HH...Good Choice an dCollection..Pls try to Postin Urdu Mostly..Eay to Read.. Keep It Up...
QUEEN VICTORIA
Age: 124
7896 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
hh sab bohat achhi hain first post of this topic was funny so i moved it to phunny section as a new topic "funny poetry"
heart_hacker
Age: 30
8126 days old here
Total Posts: 5671
Points: 0
Location:
rawalpindi, Pakistan
thx sis and itss ook asl main nain kaha jo poetry kay leay alag topic banana haii funny to koyoo na asii main hi post kerdoon
and new bahii asel main mery pass 400 mails haii poetry kii and mix haii and try kay next time urdu hi post karoon
and thx
new_beau
Age: 124
7835 days old here
Total Posts: 10168
Points: 0
Location:
United Arab Emirates, United Arab Emirates
Welcome
heart_hacker
Age: 30
8126 days old here
Total Posts: 5671
Points: 0
Location:
rawalpindi, Pakistan
Dil k Sannatoun Main Rehnay Walay Tanha Tum He Nahi Tanhaie Say Batain Kerney Walay Tanha Tum He Nahi Is Ishq Nay Berbaad Kiya Hai her Shaks Ko, Is Ishq Main Bikhernay Walay Tanha Tum he Nahi Kehnay Ko To Faqat aik Dil He Tota Hai, Apna Sub Kuch Lutanay Walay Tanha Tum He Nahi, Hasntey Huway Chehrey Hain Yahan Sub K, Derd Yun Chupanay Walay Tanha Tum He Nahi Shab_E_Tanhaie Ki Dastaan Aik See Hai Sub ki Andheroon Main Rehnay Walay Tanha Tum he Nahi Aisa Lagta Hay Aik Saza Ho Zindagi Meri, Is Qaid Main Rehnay Walay Tanha Tum He Nahi, Is Sheher Main Aur Bhe Dewanay Hain SAHIL... DER DER Bhatakney Walau Tanha Tum He Nahi...
heart_hacker
Age: 30
8126 days old here
Total Posts: 5671
Points: 0
Location:
rawalpindi, Pakistan
Yaad ata hai bohut woh guzra hoa zamana Woh School ki life woh bachpan ka yarana Left rite kehtay hoey hathon ko uthana woh Iqbal ki dua woh asambli ka taranaa Woh ghanti bajtay he classes say nikalna woh lunch mai ja kar cholay chaat kahana woh gurmiyon ki chUTion mai ghumnay ko jana woh mastian karna aur mouj manana woh tapti hoi dhoop mai cricket khailna woh ratoon ko der tuk jagna her khuff say azad zindagi guzarna woh baat baat par Ammi say zid karna woh ghaltioon pay maasomiat say sorry karna woh ghusay mai Ammi ka dantna aur raat mai Abbu say shikayetain karna woh har shaam ko apnay time pat ghar say nikalna aur mahallay mai cricket khailna maghrib hotay he ghar ko loutnaa werna dadi ji say jhaar sunnna woh dadi ko baat baat par satana aur dadi ka shafqat say samjhana woh raat ko homework k waqt bahanay karna aur class mai miss ka murgha banana woh subha mai Ammi ka humko UThana aur hamara Ammi ko kahaniya Sunanaa Late school pohchnay par Madam ka jhaar pilana aur kehna Madam ka kal Ammi ko bulana woh Ammi Abbu ka be ghurz pyar woh chacha phopho ka dular woh sharatain woh kahaniyan lougoon ka jin ko kehna shetaniyan mour kar dekhta hoo tu sochta hoo k kiya zamana tha woh jo guzar gaya woh zamana kitna suhana tha waqai kia zamana tha waqai kia zamana tha
heart_hacker
Age: 30
8126 days old here
Total Posts: 5671
Points: 0
Location:
rawalpindi, Pakistan
Aansoo May Na Dhoondna Humey, Dil May Hum Bas Jaayenge, Tamanna Ho Agar Milne Ki, To Band Aankhon May Nazar Aayenge Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega, Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse, Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega. Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai, Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai, Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye, Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai, Waqt To Humey Bhula Chuka Hai, Muqaddar Bhi Na Bhula De, Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte, Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De, Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge, Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge, Aitbaar Zara Soch Kar Karna, Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge. Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge, Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge, Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye, Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge
heart_hacker
Age: 30
8126 days old here
Total Posts: 5671
Points: 0
Location:
rawalpindi, Pakistan
asmarani
Age: 125
6866 days old here
Total Posts: 399
Points: 0
Location:
Norway, Norway
jab namaze mohbbat ada keje
gear ko bi shreeke duaa keje
ankh wale nigheen churate heen
ayena kayoon na ho samna keje
app ka gar sada jagmagata rehe
raah me kabi deya rakh dya keje
ankh me ashak aabi jayeen to kia
chand katre to heen pee leya keje
cutefriend
Age: 40
7936 days old here
Total Posts: 47726
Points: 0
Location:
London, United Kingdom
asmarani
Age: 125
6866 days old here
Total Posts: 399
Points: 0
Location:
Norway, Norway
acha tum ko achi lagi to thanks
Rapunzel
Age: 125
7200 days old here
Total Posts: 51848
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Rapunzel
Age: 125
7200 days old here
Total Posts: 51848
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
n Asma
asmarani
Age: 125
6866 days old here
Total Posts: 399
Points: 0
Location:
Norway, Norway
Fairl_Girl
Age: 125
7662 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
nicee
asmarani
Age: 125
6866 days old here
Total Posts: 399
Points: 0
Location:
Norway, Norway
asmarani
Age: 125
6866 days old here
Total Posts: 399
Points: 0
Location:
Norway, Norway
door bohoot hi door bohoot hi door kise lambe safer pe janewale muj ko hamesha kayoon lagta he? tum jaldi ajayo ge.
heart_hacker
Age: 30
8126 days old here
Total Posts: 5671
Points: 0
Location:
rawalpindi, Pakistan
very nice
elixirhtc
Age: 49
1198 days old here
Total Posts: 82
Points: 10
Location:
Islamabad, Pakistan
I love the poetry specially love poetry ...
Reply to Topic