Ek dafa Hazrat Mousa (Alaih Salaam) nay Allah say kaha ke kiya achaa hota agar chaar cheezain hotin aur chaar na hotin ...
Ø Zindagi hoti Mout na hoti, Ø Jannat hoti Dozakh na hoti, Ø Ameeri hoti Gareebi na hoti, Ø Tandurusti hoti Bemari na hoti....
Gaib say awaz aayee Aey Mousa! Ø “Agar Zindagi hoti Mout na hoti tu mera deedar kaisay hota.. Ø Agar Jannat hoti Dozakh na hoti tu meray Aazab say kon darta .. Ø Agar Dunya main Ameeri hoti Gareebi na hoti tu mera Shukar kon ada kerta.. Ø Agar Tandurusti hoti Bemari na hoti tu Mujhay Yaad kon kerta ..... “
Jab yeh batain Hazrat Mousa nay suni tu kaha Aey Allah!Beshaq teray har kaam main koi na koi Hikmat zaroor hoti hai....