zindaan mei bhi khinche rahe daar o rasan se hum rehte hein sar-kashon mei bohot baankpan se hum gul-dosti ne khaar ka khu-gar bana diya misl e naseem shaad hein saare chaman se hum
aghyaar mehr o mah se aage nikal gae chuute na qaid e zulf e shikan-dar-shikan se hum
nikle jo gham-kade se to surat khizan ki thi aae bahaar ban k teri anjuman se hum
yeh lutf kam nahi hai gham e aashqi tera hein behniyaaz dehr k ranj o mehan se hum