Aik nazm

660 views 6 replies
Reply to Topic
Rapunzel

Age: 124
Total Posts: 51848
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan


royegi ye aankhen muskraane ke baad
aaegi raat shaam dhal jaane ke baad
kabhi roothna na mere dost
sayad ye zindgi na rahe aapke rooth jaane ke baad

chaandni raat main barsaat buri lagti hai
jab dil main hai dard to har baat buri lagti hai

aankho main raha kabhi utar kar nahi dekha
kasti main musafir ne kabhi samandar nahi dekha
patthar mujhe kaha,mera chahne wala
main mom hoon,usne kabhi choo kar nahi dekha


chale bhi aao ki hum tumhe pyar karte hain
ye vo gunaah hai jo hum baar-baar karte hain
log maot tak hi dilbar ki raah takte hain
hum hain ki kabar main bhi tera intzaar karte hain


gum ke maare jo muskraae hain
aansuon ko bhi paseene aae hain
kya bala hai khusi,nahi maloom
hum to bas naam sunte aae hain

ye barish tham ke baras
jab mera yaar aae to jam ke baras
pahle na baras ki wo aa na sake
baad main itna baras ki wo ja na sake

kadam-kadam preet ki bahar mile
shaari umar zindgi ka pyar mile
khilti rahe tamanna phoolon ki tarha
khuda kare har khusi baar-baar mile


unki bewafai par wafa hum karenge
yaad ko unki dil se juda hum karenge
itna chaha phir bhi yakeen nahi use
aysi zindgi jee kar hum kya karenge

hum par apni khusi barbaad mut karna
humare liye khuda se fariyaad mut karna
aaj chaho to jee bhar kar dekh lo hume
hum na honge to hume yaad mat karna



Posted 31 May 2006

Reply to Topic