kya karta...

689 views 7 replies
Reply to Topic
QUEEN VICTORIA

Age: 124
Total Posts: 26285
Points: 0

Location:
Lahore, Pakistan
marna pada tha kya karta
ishq kiya tha kya karta

apni baat to kahani thi
sach gunah tha kya karta
'
charagon se ragbat thi usko
dil hi bujha tha kya karta

usko to mar jana tha
ghar ka bada tha kya karta

dost the jitne bichad gaye sab
safar kada tha kya karta

duniyadari raas na aayi
dil sada tha kya karta

usne mangi jaan de di
dost kaha tha kya karta

aansun chalalak pade the usne
haal pucha tha kya karta

kah aaya hoon khush rahta hoon
dil rakhna tha kya karta

yun to usko bhul bhi jata
pyar kiya tha kya karta...

Posted 06 Jun 2006

Reply to Topic