Teri masoom hansi

478 views 4 replies
Reply to Topic
HiRa....

Age: 125
Total Posts: 714
Points: 0

Location:
,
Teri masoom hansi

"

Shaam ke phelte andhere men
Thaki thaki si fiza ke lamhon men
Hole hole ubharte chaand ke gird
Chamakti chaandni ban kar aksar
Tera chehra nigahoon ke ru ba ru aata hai
Aur phir aise me buhot paas kaheen
Teri masoom hansi muJh ko sunaai deti hai
Kaanon men goonj uthti hai jal tarang jaise
Khil uthta hai har aik manzar jaise
Mehek uthti hai thaki hoi si fiza
Hole hole chalne lagti hai thand-o-tez hawa
Jab teri khusboo liye ata hai koi bhatka jhonka
Ufaq ke paar chamkta hua chaand
Kisi khayaal se sharma ke simat jata hai
Kisi awara badal ki oot men chup jata hai
Men aankhen moonde hoe
Dooor khayalon men kaheen kho jata hoon
Apni zaat se hat kar, men TUM ho jata hoon
Magar aize men najane kahaan se
Tanhaai apni bharpoor sakhtiaan le kar
Shaam ke phelte andhere men
Ghata si ban ke cha jaati hai
Aur phir uz par teri yaad sitam dhaati hai
Har guzarte pal mujhe tarpaati hai...!
Shadeed karb ke aalam men baahen khole h0e
Men apni kham0sh zubaaN se tujh ko sada deta hoon
Soochta hoon ke tum dori chali aao gi
Zindagi bhar ko meri bahoon men simat jaao gi
Phir haqeeqat ehsaas ki dehleez par dastak de kar
Mujh par ik sach ko ayaan karti hai
Kay ae deewaane...
Tu dasht-e-zeest mein ab bhi tanha hai
Apne barhte qadam rok le to acha hai
Tu khud ko ab bhi tok le to acha hai
Warna...
Tu dasht-e-zeest mein kaheen kho jaayega
Apne armaanoon ki aag men jal jaayega
Khaak ban jaayega,
Hawaoon mein bikhar jaayega...
Magar kia karoon, keh meri ik uljhan hai...
Mein apni zaat ka hakim hi nahi
Mere wujood par tu qabiz hai
Aur meri rooh men tu shamil hai
Yeh mera dil tere naam par dharakta hai
Dehkta hoon to sirf tum hi tum ho
Soochta hoon to sirf tum hi tum ho
Khud ko kho hi chuka hoon magar dilbar mere
Men ab tujh ko khona nahi seh paaonga
Tum bin jeene ka tasawwur hi naheen
Tum se bichra to shayed yunhi marjaonga...



Posted 10 Jun 2006

Reply to Topic