Age: 124
7826 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
lakin khaab daikhnay kay liye paisay nahin lagtay oon ki tabeer panay kay liye paisa chahiye raja aur rani ki aik beti bhi thi shehzadi naam tha os ka......
Age: 124
7826 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
wahan hangama ho raha th jaisay hi oos nay apna tokra neechay rakha aik aadmi jis nay kali chader orh rakhi thi taizi say bhagta hua oos kay paas say guzra aur bhagtay huey raja kay tokray main kuchh phaink gaya.....
Age: 124
7826 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
raja bohat ghabra gaya kyun kay oos aadami kay peechhay mandi main mojood bohat log bhaag rahay tha oon main aik shakhs aisa bhi tha jis nay kaafi qeemti suit pehan rakha tha aur dikhnay main bohat ameer lag raha tha....wo shakhs sab say aagy tha
Age: 124
7826 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
raja nay ghabra ker apna tokra uthaya aur gher ki taraf bhaga itnay main subha ki roshni namoodaar ho gaye raja nay gher pohanch ker sakoon ka saans liya rani heran thi poochhnay lagi abhi to gaye thay wapis kyun aagya.........
Age: 124
7826 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
to aik siyah rang ka chhota sa baig tokray say neechay gir para rani nay oos ko uthaya aur ulat palat ker daikha aur kholnay ki koshish ki lakin na khula wo oos bag ko raja kay pass lay gaye........
Age: 124
7826 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
raja bohat heran hua ye bag daikh ker rani nay poochha ye kaha say aaya raja soch main per gay achanak oos ko khayal aaya chor nay bhagtay huey kuchh phanka tha shayed ye wohi bag tha jo chor oos kay tokray main phaink gaya,,,,,,,,