ho sakta nishant homeo doctor aap kay problem diagnose na ker paya ho
ager diagnose sahi nahin aur ya phir similiar remedy select nahin ki gaye ho to saal bhi dawa khatay to koi farq nahin perta
nahin mujhay bura nahin laga
zahir hai sab apnay experience kay mutabiq baat kerain gay na
aap ka problem "fungul infection" ho ga tabhi cream say chala gaya
may be Homeo dr nay is ko leucoderma samjh kay illaj kiya ho
is main homeopathy ka qasoor nahin
homeopath ki na ahli hai
waisay india main to homeopathy main pakistan ki nisbat bohat research hui hain aur wahan behtareen doctors hain
meri khwahish hai kay kash kabhi main homeopathy ko india say perh sakti ya phir germany say
lakin dono baatain hi nahin ho sakti