Funny shairi

1345 views 23 replies
Reply to Topic
Rapunzel

Age: 124
Total Posts: 51848
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~
SHAYRI NO 1
~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~
kyon chalti hai pawan
because of evoporation
kyon jhoome hai gagan
because of earth's revolution
kyon machalta hai mann
because of eccessive respiration
na tum janno na hum
but i just gave all the answers
kyon aati hai bahar
because of change in season
kyon lutata hai kaarar
becuase of mental tension
kyon hota hai pyaar
because of fatal attraction
na tum janno na hum
like i said these are all science phenomena
kyon gum hai har disha
because u have lost the sense of direction
kyon hota hai nasha
because of drug addiction

kyon aata hai maaza
but science gives all the information

~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~   
SHAYRI NO 2
~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~

Zabt Kabhi Na Kabhi Tu Aajaiga Hamain
Woh Tasalee De Hamain Yeh Zaroori Tu Nahi

Zinda Dil Hain Hans Kar Do Ghum Sah Lainge
Har Ghum Main Tera Saath Ho Yeh Zaroori Tu Nahi
Yun Tu Woh Bohat Wafa Shaar Hain Magar Phir Bhi
Har Kadam Pe Wafa Karain Yeh Zaroori Tu Nahi

Hosle Aur Bhi Bhar Jainge Shikast K Baad
Jeet Yahan Sada Hamari Ho Yeh Zaroori tu Nahi

Shidat-e-Ghum Main Insaan Ro Bhi Daita Hai
Samne Tera Aanchal Ho Yeh Zaroori Tu Nahi
Nazrain Thi Buss Kia Karti Pathar Hogai
Tere Baad Kisi Aur Ko Dekhay Yeh Zaroori Tu nahi

Hum Ne Hamesha Usse Toot K Chaha Hai Ali
Woh Bhi Hamain Toot K Chahe Yeh Zaroori Tu Nahi
   ~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~
SHAYRI NO 3
   ~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~
Mein bewafa mein beqadar
meiney tera dil toda
mera bhi dil toota magar
tujhkho nahi iski khabar
teri yaad mein, dil thaam kar
tadpoonga mein sari umar.......
Aaj ki raat phir nahi hogi
yeh mulaqaat phir nahi hogi
aisey badal to phir bhi aayengey
aisi barsaat phir nahi hogi
ik nazar mud key dekhney waley
kia yeh khairaat phir nahi hogi?
Tumhen dekhoon tumharey chahney walon ki mehfil mein
mohobat ki qasam itni kahan taaqat merey dil mein
chalo acha howa tum bhool gai
ik bhool hi tha mera pyar o sajna
~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~
meri aankhon ko bakhshey hain aansoo
dil ko daag-e-alam de gai hai
is inayat pey qurbaan jaaon
pyar maanga tha gham de gayen hain
deney aaye they hum ko tassalli
woh tassalli to kia hum ko detey
tod kar qaaba-e-dil hamara
hasraton key sanam de gai hai
dil tadapta hai faryaad katey
aankh darti hai aansoo bahatey
aisi ulfat sey woh jatey jatey
mujh ko apni qasam de gayen hain

~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~
SHAYRI NO 4
~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~
Koi hasrat, hasrat na rahye,
Koi ummeed baki na rahye,
Tera daman khusiyoon se bhare itna,
koi shikva -e- zindagi na rahye.
Tere kushboo se aagan mera mehkta rahye
Tere wafaao ka sila yuhin milta rahye
"Majnu Kahe" Tere Naam se Din ka aagaaz ho,
Tere naam se din mera tamaam ho,

Tere khayaloon ke kasveer rang laaye,
Tere haseen kasavoor ke taabeer tu paayee,
Tere khawaboon ka chaman aabad ho,
ya Allah, meri ye dua mustajaab ho.
~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~
SHAYRI NO 5
~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~
Agar tum Insaan ki jagah pathar hote
Tumhen Pathar Samajh Tarash to lete
Tumhen Bhulana Hum Chahte Hain
Teri Yaadon ko dil se Nikalna Hum Chahte Hain
Magar Hum Aisa Kar Nahin Sakte
Mohabbat Cheez hi aisee hai
Woh Aaye Kareeb Mere to
Mere Hosh Udd Gaye
Baat to thi dil main bahut par honth sil gaye
Hamari jindgi tab tak chale
jab tak
mere sheyar dava ka asar karte rahen
Aai Khuda Mujhe tum yeh batado ke meri khata kya hai
jiske liye woh mujhe de rahen hai saza woh waja kya hai

Yeh aasoon yun bahakar barbad na kar
mere marne ke baad tumhen inki jarrorat hogi
Posted 18 Jun 2006

Reply to Topic