future of urdu

2925 views 39 replies
Reply to Topic
nikama

Age: 50
Total Posts: 3660
Points: 0

Location:
rawalpindi, Pakistan
aik local university ne is topic per debate bhi karai thi that turned out to be quite a gud one.
with the so called i.t and telecom boom in pakistan,more and more ppl r now communicating through net or mobiles and mostly roman urdu is used in chatting/messaging.
kya yeh trend urdu k liay khatra nahin he.pehle hi every day life main urdu likhne ki zaroorat kam kam hi paish ati he,urdu medium scools are also now almost extinct in urban pakistan.kahin hum log urdu likhna bhool hi na jain.
in the debate someone suggested that a new better software of urdu which is compatible with all communication devices can solve this problem.
ap ka kya khayal he
Posted 06 Oct 2006

Doctor Sam says
well ye discussion Ahmad Bilal bhi kar chukay hain.

well meri naqas raaye k mutabiq.. agar hum roman urdu main communicate kartay hain to ye shayad koi buri baat isliye nahi hey k Pakistan ki kafi aabadi abhi bhi english ko theek tarah samajh nahi paati aor na likh aor bol sakti hey..to agar wo roman urdu use kartay hain to ismain kya harj hey.. Haan Urdu ko promote karne k liye IT department main kuch new hona chahiye.
new and attractive urdu websites. urdu softwares, etc etc

i m sure.. if there mobile softwares etc are made in urdu, i will be one of those jo urdu use karain gay.
Posted 06 Oct 2006

nida khan says
urdu is our national language
aur hum ko chahyay kay aapn language ka ziyada say ziyada use karain
magar hum ko bohat saram aati hai
koun aj kal english bolnay walon ko acha samaja ja ta hai
aur jo urdu bolta hai us ko pendo kahtain hain
ya galat baat hai
for example china mein woh sirf aapni language mein hi tamam books pertain hain
aur her jiga chinese language hi boli jati hai
is liya wahan khushali hai
agar humaray country mein sirf ek language ko preference di jay to hum bhi progress kar sakhtain hain
na kay english aur urdu mix parain na to humaim urdu theek tarhan say aay gi aur nah hi english
is liya humay khud hi aapni language ko national nahin international bana ho ga
Posted 06 Oct 2006

mmja says
yar masela yeh hai kay ajkal ap jo bhi karlo ager english nahinati kuch nahin hota apko achi jobs nahin milti khas kar maltinational comp main to yeh to ab majbori hai hum chaye kuch bhi kar layn han yeh khatra to hai kay urdu ab khatum hoti ja rahi hai kyionkay ajkal tv pay bhi urdu ka zamana khatum hogia hai or kafi awam unko daykh kay enl sa imp hoti hai
Posted 06 Oct 2006

Ashii says
mera nahi khyal k masla TELECOM BOOOOM hai
its just one MORE pb
iss se urdu LIKHAI khatre mei hai par bol chal ka bhi haal bura hai

kabhi pak mei kissi se baat karo to samajh aati hai,, aadhe lafz urdu adhe angrezi
mera bhi yehi haal hai,, par phir bhi yahan rehne k bawajood mujhe apni urdu sab pakis se behtar lagti hai
alphabets aur ginti to urdu k kissi ko aate hi nahi

pata nahi kya nakhra hai yarrrr
Posted 06 Oct 2006

mmja says
jab yahan kay teachers ko hi sahi tarahn urdu nahin ati to bachay becharay kyia karayn
Posted 07 Oct 2006

sun_shine says
mmja said:

jab yahan kay teachers ko hi sahi tarahn urdu nahin ati to bachay becharay kyia karayn



aray hamari urdu teacher itni khaalis urdu bolti thi
kay jab humay shair ki tashree nahi aati ti aur woh kuch aisay alfaz may hum students ko tokti thi k pata hi
nahi chalta tha k hamari izzat afzai kar rahi hay ya hamay dantt rahi hay.

Posted 08 Oct 2006

mmja says
wah kyia bat hai
aik hamray teach thay jab daykho padrhanay ki bagaye dosray count ki masalay daytay rehtay thay aksar teach to punjabi main shorow ho jatay hain or han pak kay govt school main to teach kholay am galim gloch bhi kar laytay hain ab khud faisla karo bachay kyia karayn
Posted 08 Oct 2006

sun_shine says
seriously i will tell you
oper jitnay logo ne kaha kisi hadd tak theek kaha.
per asli waja yeh hay k hum khud is se bhaag rahay hain.
hum isko itni importance nahi daitay jitna hum english ko daitay hain.
hum ne aksar suna hay kay falah english tution leta hain
per hum nay kabhi yeh suna hai kay kisi ne urdu tution le ho.
yahan tak kay agar kisi ko english nahi aati to log us per hanstay hai kya urdu na aanay per kisi ko sharmindagi huee hay.
Posted 10 Oct 2006

mmja says
jahan tak tuition ki bat hai to woh isliay laytay hain kay unko english nahin ati or aksar students iskay bad bhi fail ho jatay hain eng main jabkay urdu main esa nahin hota
jahan tak sharmindgi ki bat hai to shamrmindgi nahin honi chaye par dunia kay sath chalnay kay liay uskay sath chalna padrta hai na
chelo main apni he misal dayta hon mera irada mba main yahan aik uni main dakhila laynay ka hai ager mera merit ban bhe geyia or peson ki bhi pro nahin lakin mughay pata hai mughay wahan dakhila nahin milayga kyionkay meri english bolna achi tarahn nahin ata jabkay wahan saray test or inter english main hoga
Posted 10 Oct 2006

sun_shine says
I AGREE WITH YOU SIR,
jaisa kay aap nay kaha kay english ki tution hum isliye laitay hain kay humay english nahi aati,per main kehti hoon kay hamain urdu bhi to nahi aati.
mana kay english ajkal ki zaroorat hain per hum urdu ko buhat peechay chod chukay hain.
jahan tak apkay admission wali baat hain to yeh english hume logo ne lazmi karaar di hay koi bahir se aakar nahi keh gaya kay test english main hoga yeh system hami log chala rahay hain.
Posted 11 Oct 2006

mmja says
yehi to mera point hai jo loog system chal rahay hain unkay sapoot to bahir padrtay hain isliay unhay koi tension nahin
ap urdu say itna na mayios hon mera nahin kheyial kay hum logoon ki urdu boht kamzor hai darsal hum samghtay hain kay ager hum achi urdu bolayngay to loog hamayn padra likha nahin samghayn gay isliay english ko tarjeh daytay hain beshak hamayn sahi ati bhe na ho yeh hai kay jo asal urdu thi woh ab napeed hoti ja rahi hai ab urdy,punjabi,eglish ko mix karkay hum logoon nay urdu ka new ver nikal leyia hai ajkal
Posted 11 Oct 2006

nikama says
mmja said:

ap urdu say itna na mayios hon mera nahin kheyial kay hum logoon ki urdu boht kamzor hai darsal hum samghtay hain kay ager hum achi urdu bolayngay to loog hamayn padra likha nahin samghayn gay isliay english ko tarjeh daytay hain


its so true yar
Posted 12 Oct 2006

mmja says
par is main itna hansnay wali konsi bat hai sir
Posted 12 Oct 2006

sun_shine says
per is say to logo ka kuch nahi jayega.nuksaan hamara hi hoga.log to kuch bhi kehtay ho per is trend ko aap logo ne hi khatam karna hay.
Posted 13 Oct 2006

nikama says
mmja said:

par is main itna hansnay wali konsi bat hai sir


hansi is liay aai k kuch kuch apna bhi yehi haal he.
lekin ager koi naya aur behter urdu soft ware ban jay jo k mobiles aur computers per easily use ho sake to shaid hum log urdu likhna dobara seekh jain
Posted 13 Oct 2006

mmja says
ab esi bhe bat nahin uper walay kay fazol say abhi urdu ka hal itna bhe nahinkharab yara
Posted 13 Oct 2006

mmja says
per is say to logo ka kuch nahi jayega.nuksaan hamara hi hoga.log to kuch bhi kehtay ho per is trend ko aap logo ne hi khatam karna hay.
true lakin yeh jo hamaray policy makers hain na inke marze kay beghair kuch nahin ho sakta or inko koi tension nahin urdu ka chaye kuch bhe ho jaye had to yeh hai kay jis country ke national lang urdu hai wahan 12 kay bad urdu nisab say ghayeb ho jate sochnay ke bat hai kyia zahanit hai hamary leadron ke
Posted 13 Oct 2006

sun_shine says
yaa you are right
leaders urdu ki kya fikar karaingay woh to mulk ki fikar tak nahi kartay.
Posted 14 Oct 2006

javad says
JAB LOG APNAY NATIONAL ZUBAN BOLNAY MAIN SHARAM MEHSOOS KAREN TO PHIR USS KOOM KI KOI ZUBAN NAHI RAHTI.
Posted 14 Oct 2006

nikama says
aisa hi he,hum log udhar ki zuban per hi to kam chala rahe hain.urdu ko to side line ker dia gaya he specially gov.level per.ager ap log dhekhain to hamare shaid nadra k forms ko chaor ker baqi sab official forms english main hote hain,judicial language english he,official language english he.
yad aya jab qasoori ko pakistan ka forign minister banaya gaya to us ki waja yeh batai gai k un ki english bohat achi he as compared to other members of cabinet
Posted 14 Oct 2006

mmja says
leaders urdu ki kya fikar karaingay woh to mulk ki fikar tak nahi kartay.
bus sab say badra masla to yehi hai jabkay tak yeh hal nahin hota kuch nahin ho skata meray pass bhe b.a ke degree nahin hai nahin to main he election ladr layta
Posted 14 Oct 2006

mmja says
yar ajakl pak main istarahn ke lang bole jate hain
pure english=burgers people
pure urdu=old is gold kism kay chachay
punjabe+urdu+enlgish=local awam(mix achar zayekay dar)
pure local lang=pendo
Posted 14 Oct 2006

Ashii says
daaaal do sab gvt aur leaders pe



kuch to khud bhi seekho aur sikhao
hadd hai
Posted 14 Oct 2006

mmja says
aray jab govt he nay students kay sikhnay pay pabende laga de hai to insaan kesay sikhay
Posted 14 Oct 2006

mmja says
jsi banday nay m.a urdu keyia hota hai loog kehtay hain isnay to time he zayia keyia hai or us becharay ke education ko koi impt nahin de jate akhir kyion
Posted 14 Oct 2006

Ashii says
areyyy jab maa baap bache ko bolna sikhate hein
to musharaf sahab ki badook gardan pe hoti hai kya
ya phir ENGLISH MED mei parhana majboori hai

y cant parents tell their children to pronounce correctly
to name things in urdu,, and stop making fun of our own language,,
waddde angreiz
Posted 14 Oct 2006

mmja says
maa baap kyia karayn ajkal life itne mushkil hai kay unkay pass itna time nahin hota kay woh bachon ko urdu gramer padrhatay phirayn yeh kam hamaray school ka hai jahan pay urdu say zeyiada punjabe bole jate hai pak main had hai
Posted 14 Oct 2006

Ashii says
grammer ki baat kaun kar raha hai


btw
agar life itni mushkil hai k maan baap k paas bachon k liye time nahi hai
to phir paida karne ki kya zaroorat hai
insan ki kamai uss ki aulad hoti hai,, bank balance nahi



masla punjabi ka nahi
GALT urdu bolne aur uss mei angrezi ka tarka lagane ka hai
Posted 14 Oct 2006

mmja says
daykhayn ager kisi kay parents boht ameer hain to theek hain nahin to ajkal itnee mehngaye kay dor main aik aam shiks kesay apna guzara karta hai yeh woh hum say behtar janta hai
urdu to sab bol laytay hain lakin ghalt salit gramer say mutlab tha kay sahe urdu ajkal pak ke aksar loog becharay unpadr hain jiske wajah say woh apnay bachon ko sahe tarahn nahin bata saktay kyionkay dheyiaton mainkam say kam urdu nahin bole jate
zeyiada tarh bachay govt school main apdrtay hain jinka hal boht bora hai is wajah say unke tarbeyiat shorow say he nahin ho pate or bad main english wesay he nisab say out ho jate hai is wajas say bachay main shoq peda nahin hota kay woh ache urdu bolna sikhay iske bajaye woh tote phote english ko he ahmeyiat dayta hai
Posted 14 Oct 2006

sun_shine says
ya yeh to hain
Posted 15 Oct 2006

Reply to Topic