Age: 124
7054 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kisi ki ankh say sapnay chura kay kuch nahin milta manderon say churaghon ko bhuja kay kuch nahin milta koi aik adh sapna ho to phir acha bhi lagta hai hazaroon khuwab ankhoon main saja kay kuch nahin milta sakoon unko nahin milta kabhi pardes ja kay jnihay apnay watan say dil laga kay kuch nahin milta yeh acha hai kay apis kay bharam na totnay payeen kabhi apnay dostoon ko azma kay kuch nahin milta mughay askar sataroon say he awaz at hai kisi kay hijar main nendayn gunwan kay kuch nahin milta jighar ho jaye ga chalni yeh ankhayn khoon ho jayengi wasi befez loghoon say nibha kar kuch nahin milta (WASI SHA)
Age: 124
7012 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
hum ghoom chukay basti bann mein ek aas ki phans liye mann mein koi saajan ho,koi pyaara ho koi deepak ho,koi taara ho jab jeevan raat andhairi ho ek baar kaho tum meri ho
jab sawan badal chaye ho jab phagan phool khilaye ho jab chanda roop lutata ho jab suraj dhoop nahata ho ya shaam ne basti ghaeri ho ek baar kaho tum meri ho
haa dil ka daaman phaila hain kyun gori ka dil maila hain hum kab tak peet kay dhokay main tum kab tak dur jharokay main kab deed se dil ko sairi ho ek baar kaho tum meri ho
kya jhagra sood khasaray kaa yeh kaam nahi banjaray kaa sab sona rupa lay jaye yeh dunya, dunya lay jaye tum ek mujhay behtairi ho ek baar kaho tum meri hoo ek baar kaho tum meri ho ibn-e-inshaa
Age: 124
7054 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
mohabton main har aik lamha wasal hoga yeh tay huwa tha bichadr kay bhe aik dosray ka khyial hoga yeh tay huwa tha wohe huwa na badaltay musim main tonay mugh ko bhula deyia koi bhe rut ho na chaton ko zawal hoga yeh tay huwa tha yeh kyia kay sansayn okhadr gaye hain safar kay aghaz he say yaroo koi bhe thak kay rastay main nanidhal hoga yeh tay huwa tha juda huway hain to kyia huwa,phir yehe to dastor zindge hai judayion main na qurbaton ka milal hoga yeh tay huwa tha chalo kay faizan kashteyion ko jala dayngay gumnam sahilon par kay ab yahan say na wapse ka sawal hoga yeh tay huwa tha