sorry me ne baki sab k replies nahi parhe
may b koi behtar answer kar chuka ho pehle
jiss shaks k sar pe udhar ho uss ko hajj tak karne ki ijazat nahi hai
ab saza kya mile gi yeh me nahi janti,,
par agar aap ko pata hai k koi faut ho gaya bager karz adaa kiye to apni taraf se koshish karo uss ka karz chukane ki,, agar family walon ki itni hesiyat hai to zaroor udhar wapis karna chaiye
+ agar karz dene waale ko ehsas hai k lena waala wapis karne ki hesiyat nahi rakhta to Allah k naam pe karz maaf bhi kar dena chaiye
i ll add just one more thing
its said "kabar pe karz bohot bhari hota hai"
u can understand iss ka kya matlab ho ga,, par mujhe iss ka aik aur matlab samajh aata hai k har woh cheez jo hum pe farz hai ya harr woh kaam jo hamari zimedari hai woh poora kiye bager hum mar ja'ain to apne sar pe karz le k marein ge
chahe woh hamare mazhabi fara'iz hon,, chahe koi waada/kasam, chahe koi karz
Allah miyan hum sab pe rehm karein