Talaq and Kholah main kia farq hay

kia kholah lainay wali ko bi unta hi bura kaha gaya hay islam main

jitna Talaq dainay waley ko
-----------
Nikah/shadi k liyay islam main MARZI pochnay/ honay ko zarori kaha gaya hay
ab qestion yah hay k...
Marzi kia hay
3 bar zuban say "QABOOL hay" bolna kaafi hay kiya

...jabkay dil say insan RAZI na ho

and agar aisa karnay k bad bi ( i mean after nikah )
wo shaks Talaq ya Kholah chahay ( coz wo dilsay razi nahin tha/thi...
but kisi majbori ki binah par nikah/shadi kar li )
to kia isko bi BOHAT bura samjha jaey ga islam main
ya wo person sari life kisi aisay insan k sath guzar day jisko wo pasand nahin karta/karti
( sirf is liyay k islam main talaq ko bura samjha gaya hay )...
kia sahi hay