Mubaarak ho tumko yeh shaadi tumhaari Sada khush raho tum dua hai hamaari Tumhaare kadam choome yeh duniya saari Sada khush raho tum dua hai hamaari Mubaarak ho tumko yeh shaadi tumhaari Sada khush raho tum dua hai hamaari Tumhaare liye hai bahaaron ke mausam Na aaye kabhi zindagi mein koi gham Hamaara hai kya yaar hum hai deewane Hamaari tadap to koi bhi na jaane Mile na tumhe ishq mein beqaraari Sada khush raho tum dua hai hamaari Mubaarak ho tumko yeh shaadi tumhaari Sada khush raho tum dua hai hamaari
Ke janmon ke rishte nahin tode jaate Safar mein nahin hamsafar chhode jaate Na rasm-o-riwaajon ko tum bhool jaana Jo li hai kasam to isse tum nibhaana Ke humne to tanha umar hai guzaari Sada khush raho yeh dua hai hamaari Tumhaare kadam choome yeh duniya saari Sada khush raho tum dua hai hamaari Mubaarak ho tumko yeh shaadi tumhaari Sada khush raho tum dua hai hamaari Jaa maine bhi pyaar kiya hai