mazaroon per jana?

1267 views 8 replies
Reply to Topic
chocolate_boy

Age: 124
Total Posts: 5
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
ASSALAM-0-ALAIKUM MEMBERS

kia mazaaroon per jana sahi hay ye galat?

shayad aap logoon ko galat lagay per mujhay acha nahi lagta jana

kion k ye kai ye sahi hay k loog on se ja k mangte hain jo k is doniya main nahi rahay

aksar loog khetya hain k hum on ko khetya hain k wo Allah se kahain ajeeb baat nahi hay ye

kia ALLAH hamari dua nahi sunta jo hum odhar jatay hain or mazaroon per j se loog hotay hain wo to takreeban sab ko pata hoga

ab aap loog apni coments dain
Posted 21 Dec 2006

is main galat baat kya hai?
Posted 21 Dec 2006

Bazurgon ya waliyon ka ihtaram to theek hai magar jo un se madad mangtay hain thats rong. maine aksar loagon ko kehty suna hai k hum to in bazurg ka diya hi khaty hain ya hamara beta to in bazurg ki badolat hi hua hai ye sara sir shirk hai. magar un ka ihtaram karna to ghalat nahi. cz wo wali hain unhon ne itni ibaadat o riyazat ki tabhi is maqam par pohnchay hain. raha bazurgon se mangna to wo to waqai ghalat hai denay wali zaat Allah ki ha han waseela koi b ho sakta hai or agar hum kisi k waseelay se dua mangtay hain ye niyat rakhty huay k ye shaks Allah k muqarabeen may se hai to wo to ghalat nahin ha.
Posted 21 Dec 2006

new_beau says
Agree with A.S.T.
Posted 25 Dec 2006

Asman sai tapki nay bilkul sahi kaha.

Yeh sab due to lack of knowledge hai...

Posted 26 Dec 2006

salaam

sab say pehly hum Musalman hein ... aur sab is say agree hoon gay

aur hum musalmaan kiun banay... sab ko pata hay ... k Allah nay apnay Nabi aur Pyghambar bejhy

aab yeh baat saaf ho gaye k Allah nay apnay bandoun ki islaah k liye Prophets bejhy. aur humaray Akhri Nabi. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) par is nizaam (pyghambar+Nabi) ki takmeel farmaye. very obvious.

aur Humaray Pyary Pyghambar (P.B.U.H) nay apnay baad hum mein 2 cheezein chori.

1. Qur'an Pak
2. Sunnah

Quran pak ka sab ko pata hay ....

Sunnah ko mein thora explain kar dyta hoon ... Sunnah maltab .... Jo baat humaray Nabi (S.W) ny zindagi mein kiya aur kaha.

aur is sunnah ko zinda rakha sab say pehly Sahaba_Ikram (R.A) nay aur fir us kay baad Allah k nake logoun nay ... coz yeh sab janty hein k jab Allah nay humaray Pyghambar Hazrat Muhammad (P.B.U.H) par jab silsalaa_e_Naboowat Khatam kiya tu us k baad Allah k nake logoun nay us mission ko jari rakha....

aur aaj jab hum mizaroun ki baat karty hein tu yeh Un hi nake logoun ki Mizaar hein jinhoun nay Allah ki raah mein aur US k rasool Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ki sunnah par amal karty howay Islaam ki roshni philaye....

1. is liye Mizaroun par jana .... ghalat nahi.
2. Dua Allah hi puri kartay hein. but kissi nake logoun k Waseely say dua karna bhi ghalat nahi hay.

very big Example.

Allah nay apnay Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ko ek darood paak diya ..... "Darood_e_Ibrahime" jo hum (har musalman) namaaz mein parhta hay.) Aye Allah jis tarahn aap nay Hazrat Ibraheem (A.S) par barkatein Nazil farmayein wayse hi AAP Hazrat Muhammad aur un ki Aaal (ummah) par nazil farmayein).

Waseela is ko kehty hen... Jab kissi mizaar par jaoo .. tu ADAB say jaooo, Dua Allah say hoti hay but Allah kay Muqarab Banday k Waseelay say mangaa jaye tu Allah ko ziada Khushi hoti hay :).

logically ... when we study... we normally used to say... I need to be sharp / to get high position as someone (his brother/friend/relative/anyone) have.

jitna woh acha hay us tarhan mujhay ban-na hay :)

so in sab batoun mein Allah say SHIRK kahein nahi.

Ultimate power ... Allah ki hay. aur hum sab us k Nizaam ka hissa :)

Allah hum sab ko Nake Rah dekhay aur us par chalny ki Tofieeqe day. Ameen

Posted 20 Jan 2007

with all due respects, I feel obligated to give my two cents on this very fundamental issue.

respecting righteous predecessors is from the etiquettes of Islamic morals. Asking Allah thru a saint is not from the practice of Prophets or Ashabir Rasool. We will not find any incident in the life of the prophet or that of his companions of asking Allah through a saint. Prophet SAW taught his companions etiquettes of supplication and asking of Allah, but never advised them to ask Allah through him (the best of humanity and creation). There is no proof that it pleases Allah to ask him through an intercessor. Conversely, it may displease Allah.

Allah swt says in the Quran, "When My servants ask you concerning Me, I am indeed close (to them): I listen to the call of every suppliant when he calls on Me: Let them also, with a will, Listen to My call, and believe in Me: That they may walk in the right way." (2:186)

Allah swt needs not a middle person for a supplication to reach Him. He is As-Sami (listens to all at once).

Allah is subhan and is free of any weakness. He knows the merits of a dua as he knows what is in the heart of a suppliant. None other can know the condition of the heart except Allah.

Next, Allah SWT is fair and just. It would be of blemish upon the most fair judge to take pleas on recommendations instead of strict merit - which is a sign of weakness.

Lastly, Anyone who passes away, doors of dua and repentance close on him/her. Such person is in no position to ask for him/herself, how can he/she ask for someone else? They don't see or hear anything of this life. They only receive gifts of good dua that people make for them or a curse that people send upon them. A person who is dependent on the dua of others, can he/she make dua for anyone else?

remember, that Allah SWT heard the repentance of Yunus AS from the stomach of a whale from the depths of the ocean. He did not ask Allah through the names of other great prophets of Allah. Such stories in the Quran are to strengthen our faith in Allah.
Posted 06 Feb 2007

valandrian says
bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036
bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036bd44036

bd44036
Posted 20 May 2018

Posted 22 Sep 2018

Reply to Topic