Age: 124
6546 days old here
Total Posts: 47628
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
zindagi sey kabhi kuch chaha hi nahi jo bhi chaha kabhi mila hi nahi
khawahishat ke aik kamray mai band ho kar reh gaye hain manga tha tujhe khuda say magar, kise aur ke hokar reh gaye hain
ashiq banaya tha tumne lamha ba lamha magar ashique ke asaar aik dam say, sar par hawi hokar reh gaye hain
teri jodayee ab dil ko nahi bhati teri yaadoon mai ahista ahista ghamgeen hokar reh gaye hain
ab tera intezaar nahi hota ab teray khwaboon mai jee nahi saktay yehi teri soochoon ki wajah se ab hum loogon mai badnaam hokar reh gaye hain
zindagi say kabhi kuch chaha hi nahi o meray yaar jo bhi manga kabhi mila hi nahi is se pehle hum teray ghum mai doob jayain bachalo humay warna hum is duniya se roswa hokar reh gaye hain!
Age: 124
6546 days old here
Total Posts: 47628
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
kaha tha na is tarah sotay huye mat chor k jana mujhe besha jagga dena bata dena muhabbat k safar mein sath meray chal nahi sakten judai k safar mein sath meray chal nahi sakten tumhain rasta badalna hai mere had se nikalna hai tumhain kis baat ka dar tha tumhain jane nahi deta kahen pe qaid kar leta aray pagli muhabat ki tabiet mein zabardasti nahi hoti jisay rasta badalna ho usay rasta badalnay se jisay had se nikalna ho usay had se nikalnay se na koi rok paya hai na koi rok paye ga tumhain kis baat ka dar tha mujhe beshak jagga detay main tum ko dekh hi leta tumhain koi dua deta kam az kam yun to na hota, mere sathi haqeeqat hai tumharay baad khonay k liye kuch bhi nahi baqi magar khonay se darat hoon main ab sonay se darta hoon.
Age: 124
6546 days old here
Total Posts: 47628
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
December Se Kya Poochtey Ho? Yeh To Ek Muhar Hay Ek Seel Hay Jo Zindagi k Ek Baab Par Ek Saal k Ikhtetaam Par Aaj Lag Jaye Gi Poochna Hay To In Dhool Urratey March, April Aur September Se Poocho October Aur November Ki Un Udas Shaamon Se Poocho Yaa Agar Poochna Hay To January, February Ki Thathartii Kuhar Aalood Shaamon Se Poocho May, June, July, August Ki Jhulastii Veeran Dopehron Se Poocho Vo Chehrey... Jo In Bey Dard Maheenoo Ki Bhooki Khokh Mein Ja Samaye Vo Yaadein... Jo Ruton Ki Badaltii Tareekhon Se Qata Nazar Dil Mein Angaron Ki Tarah Dehaktii Rahein Gi Saal Palat Saktey Hain Din Tareekhon Ka Bhais Badal Badal k Aa Saktey Hain Vohi Har Maheeney Ki Yakum Do Aur Phir Untees Tees Magar Yeh Ooper Neechay Girti Tareekhein Din Ki Kokh Se Janam Leta Ek Aur Din Khuwah Kitna Hi Naya Kiun Na Ho Ujla Aur Roshan Kiun Na Ho Vo Beetey Sunehri Lamhay Vo Man Chahey Chehrey Vo Roothay Bichrrey Apney Vo Payaron Ki AnBhool Yaadein Vo Meezan-e-Amal Mein Barhtey Har Lamhey k Khasaarey Ka Ehsas Kon Sa Baras... Kon Sa Din... Kon Sa Pal... Phir Se Mana Kar La Sakta Hay Apni Jholi Mein Bhar Kar La Sakta Hay December Se Kya Poochtey Ho? Yeh To Ek Sham Mein Dhal Kar Aaya Hay Naram Garam Yaadon Ka Monh Band Sarmaya Hay Aakhrii Shab December k Hawaley Kar k Yakun January Mein Ja Samaye Ga December Se Kya Poochtey Ho...???