NAAM MERA AITABAR HAI

703 views 12 replies
Reply to Topic
Rehan M Din

Age: 44
Total Posts: 15020
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan

Us nay kaha mujh say tumhay kitna pyaar hai
main nay kaha sitaron ka bhi koee shumar hai

us nay kaha koon tumhay hai bohat aziz
main nay kaha dil pay jis ka ikhtiyaar hai

us nay kaha koon sa tohfa hai tumhay pasand
main nay kaha wo shaam jo ab tak udhaar hai

us nay kaha khizaan main mulaqat ka jawaz
main nay kaha qurb ka matlab bahaar hai

us nay kaha sankroon ghum hai zindagi main
main nay kaha ghum nahi jab ghum gusaar hai

us nay kaha sath kab tak nebhao gay
main nay kaha jitni yah saansoo ke taar hai

us nay kaha mujh ko yaqeen aayey kis tarah
main nay kaha naam mera aitabar hai
Posted 29 Dec 2006

Reply to Topic