TUMHARI BE RUKHI JANAN

616 views 11 replies
Reply to Topic
Rehan M Din

Age: 44
Total Posts: 15020
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan

Mujhay aik din mita de gi tumhari be rukhi jana
hawaoun main ura de gi tumhari be rukhi janan...

Abhi to apnay honay ka mujhay ahasas hai lakin
Ghubre-rah bana de gi tumhari be rukhai janan...

Bujha deti hain jaisay aandhaian roshan charagoun ko
Mujhay bhi youn bujha de gi tumhari be rukhi janan...

Ghamoun ki taal per judai ka koi ajab mosam
Meray lub per shaja de gi tumhari be rukhi janan...

Subhai ahelay sukan dekhain gay harat se meri janib
Mujhay lahaja naya de gi tumhari be rukhi janan...

Jisay khud ki khabar na ho jo knud ko bhool bhata ho
Use aab kya saza de gi tumhari be rukhi janan...

Kaha hai doostoun nay yeh sapana is dil se kah dena
Mohabbat ko mita de gi tumhari be rukhi janan...
Posted 01 Jan 2007

Reply to Topic