This wonderful poem made my EID DAY....
Ajab din thay Mohabbat ke
Ajab din thay, Rafaaqat ke..
Kabhi gar Yaad Aa jaein
Tou Palkon par Sitarey jhilmilatey hain
Kissi ki yaad mein Raaton ko aksar ...
Jaagtey rehna
Mamool tha Apna
Kabhi gar Neend Aa Jaati...
Tou Hum yeh soch letey thay
Abhi tou Woh Humarey waastey...
Roya nahin hoga
Abhi Soya nahin hoga
Abhi Hum bhi nahin sotey
Subah tak jaagtey thay aur Uss ko yaad kartey thay
Tanhaai mein Veeraan Dil Aabaad kartey thay
Humarey saamney Taaron ke jhhurmat mein
Akela Chaand hota tha
Jo Uss ke Husn ke Aagey ...
Buhut hi Maand hota tha
Falak par Raqs kartey Unn sabhi Roshan Sitaron ko
Yoon Hum tarteeb detey thay
Ke Uss ka naam banta tha
Hum agley roz jab miltey
Tou guzri raat ki har Be-kali ka Ziker kartey thay
Har Ek Qissa sunatey thay
Kahan kab kiss jagah Kiyonkar
Yeh Dil dharka tha, bataatey thay
Mein jab kehta tha ke "Jaana'n raat Mein aik pal nahin soya
Tou woh Khamosh rehti thi
Yeh Uss ki neend mein doobi hui Do jheel si Aankhein
Achanak bol parti theen
Mein jab kehta...
"Mein ne Kal shab Sitaaron mein..
Tumhara naam dekha tha
Tou woh kehti...
"Razi, Tum jhhoot kehtey ho
Sitaarey Mein ne dekhey thay
Aur Unn roshan sitaaron mein
Tumhara naam likha tha
Ajab Masoom larki thi
Woh kehti thi
Lagta hai ke ab Apna sitaarey...
Mil hi jaaein gey
Magar Uss ko khabar kiya thi...
Kinaarey mil nahin saktey
Mohabbat ki tarah
Mohabbat karney walon ke...
Sitaarey mil nahin saktey!