Age: 45
6785 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
TUM CHAHAY NA MUJH SAY BAAT KARNA MAGAR AIK ILTIJAA HAI TUM SAY SUNO SIRF AIK BAAR MERA NAAM LAY KAR KOI BHI ACHAY SAY KAPRAY PEHANANA AUR PHIR HALKA HALKA SA SINGHAR KARNA MEIN TO NA TUMHAIN DAIKH PAAOONGHA LAIKIN SUNO SIRF AIK BAAR MERA NAAM LAIKAR AANKHON KO BAND KARNA DONO HAATHON MEIN CHUPA KAR GHUMAAN KARNA KAY MEIN TUMHAIN DAIKH RAHA HOON FORAN AAINA DAIKHNA AIK TABDEELI HO GHI TERAY HUSN MEIN JAISAY PHOOL SHABNAM SAY THODA JHUK GAYA HO SUNO SIRF AIK BAAR MERA NAAM LAI KAR SEENAY PAY HAATH RAKHNA DADHKAN TO SAAF SUNAAEE DAY GHEE MAGAR US KI SHIKAAYAT KO BHI MEHSOOS KARNA SUNO SIRF AIK BAAR........ .... APNAY HAATH PAY MERA NAAM LIKHNA
Age: 45
6785 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
Jab koi baat kerta hon tera khial aata hai jab koi baat kerta hon tera khial aata hai jabb kuchh sochnay lagta hon tera khial aata hai meri aankhon meri nazar main tum aisay samaay ho jabb kuchh dekhnay lagta hon tera khial aata hai koi bhi kaam mujh se abb to kia nahi jaata jaabb kuchh kernay lagta hon tera khial aata hai main saari raat tujhay sochtay bita deta hon main jabb bhi sonay lagta hon tera khial aata hai kabhi jabb hansi aati hai to dil ronay lagta hai main jabb bhi hasnay lagta hon tera khial aata hai
main pal pal merta rehta hon nahi abb jia jata main jabb bhi jeenay lagta hon tera khial aata hai
Age: 45
6785 days old here
Total Posts: 102
Points: 0
Location:
Swat, Pakistan
us ki gali phir mujhe ik baar le chaloo Koi lejata hai us tak, na Qaza ati hai aap uth kar mujhe jane mein haya ati hai Majboor kar k mujhko mere yaaar le chaloo us ki gali mein phir mujhe ik baar le chaloo shayad yeh mera wahem ho mera khayal ho mumkin hai mere baad usay Mera Malaal ho pachta raha ho ab mujhe dar se utha k woh betha ho meri yaad mein aankhein bicha k woh us ne bhi to kia tha mujhe pyaar , le chaloo us ki gali mein phir mujhe ik baar le chalo ab us gali mein koi na aaiga mere baad us dar pe koon khoon bahaye ga mere baad mein ne to sang o khaiz se takra k apna sar gulzaar kardiye thay lahoo se woh baam o dar phir muntazir hain woh dard e yaar le chaloo us ki gali mein phir mujhe ik baar le chaloo diwana keh k logon ne har baat taal di dunia ne mere paaon mein zanjeer daal di chaho jo tum to mera muqaddar sanwar do yaroon yeh mere paaon ki airi utar do ya khenchte hoye sar e bazaar le chaloo us ki gali phir mujhe ik baar le chaloo