kiran
Age: 39
Total Posts: 4177
Points: 0
Location:
Germany, Germany
Jaane kiski talaash unki aankhoon main thi
arzoo ke musafir bhatakte rahai
jitne bhi woh chale utne hi
bhich gaye rah main fasle
khawab manzil thai aur manzilain khawab thin
rastoon se nikalte rahai raste
jaane kis waste
arzoo ke musafir bhatakte rahai
koi purani yaad mera rasta roke mughse kehti hai
itni jalti dhoop main yun kab tak ghuumo gai
ao chal ke beete dinon ki chaoon main bethain
us lamhai ki baat karain ke
jis main koi phool khila tha
us lamhai ki baat karain ke
jis main kisi awaaz ki chandi khanak uthi thi
us lamhai ki baat karain ke
jis main kisi ki nazroon ke moti barse thai
koi purani yaad mera rasta roke mughse kehti hai
itni jalti dhoop main yun kab tak ghuumoo gai
sach to yeh hai kasoor appna hai
chand ko chuune ki tamana ki
asmaan ko zameen per manga
phool chaha ke pathroon pe khile
kantoon ne ki talaash khushboo ki
arzoo ki ke aag thandak de
baraf main dhoondte rahai garmi
khawab jo dhekha chaha sach ho jaye
iski humko saza to milni thi
sach to yeh hai kasoor appna hai