Forums
Poetry Cafe (URDU)
My Collection
Reply to Topic
xcentric
Age: 124
Total Posts: 14
Points: 0
Location:
,
Members, here I am going to share with you my poetry collection. I would appreciate if you can also add some quality stuff in it but please, I repeat, please no discussions in this thread. I would really appreciate your kind understanding. Regards & Wassalam
xcentric
Age: 124
6468 days old here
Total Posts: 14
Points: 0
Location:
,
Teray hathon main pighal janay ko ji chahta hai Aatish-e-shoq main jal janay ko ji chahta hai Tujh say ik raaz ki sargoshi bhi karna chahoon Phir wohi raaz nigal janay ko ji chahta hai Dil yeh chahay keh teray dil main rahoon dil ban kar Phir ussi dil say nikal janay ko ji chahta hai Wehshat abaad makanon main nahin ji lagta Shehar say door nikal janay ko ji chahta hai Hum say yeh rasm ki zanjeer bhi kab toot saki Aur dil ki zidd peh bhi machal janay ko ji chahta hai
xcentric
Age: 124
6468 days old here
Total Posts: 14
Points: 0
Location:
,
Ay mohabbat teray anjaam peh ronaa aayaa Jaanay kion aaj teray naam peh ronaa aayaa Youn tou her shaam umeedon main guzar jaatiii thee Aaj kuch baat hai jo shaam peh rona aayaa Kabhii taqdiir kaa maatam, kabhi dunya ka gilaa Manzil-e-ishq main her gaam peh ronaa aayaa Jub howa zikar zamaanay main mohabbat kaa Nadeem Mujh ko apnay dil-e-naakaam peh rona aayaa
xcentric
Age: 124
6468 days old here
Total Posts: 14
Points: 0
Location:
,
Chaand kay saath kaii dard puraanay niklay Kitnay gham thay jo teray gham kay bahaanay niklay Fasl-e-gul aaii phir ik baar aseeraan-e-vafa Apnay hi khoon kay daryaa main nahaanay niklay Hijr kii chot ajab sang-shikan hoti hai Dil kii be-faiz zamiinon say khzaanay niklay Umar guzrii hai shab-e-taar main aankhain maltay Kis ufaq say meraa khurshiid na jaanay niklay Kooy-e-qaatil main chalay jaisay shahiidon ka juloos Khvaab yoon bheegtii ankhon ko sajaanay niklay Dil nay ik eent (brick) say tameer kiya taaj mehal Tuu nay ik baat kahi laakh fasaanay niklay Dasht-e-tanhayee-e-hijraan main kharra sochtaa hoon Haaye kya log meraaa saath nibhaanay niklay Main nay Amjad ussay be-vaastaa dekhaa hi nahin Woh tou khuhsboo main bhi aahat kay bahaanay niklay
xcentric
Age: 124
6468 days old here
Total Posts: 14
Points: 0
Location:
,
Rukhsat howa tou baat meri maan kar gyaa Jo kuch bhi uss kay paas thaa mujhay daan kar gyaa Bichrra kuch iss adaa say keh rut hi badal gayee Ik shakhs saray shehar ko veeraan kar gyaa Dil-chasp waqia hai keh kal ik aziiz dost Apnay mafaad per mujhay qurbaan kar gyaa Kitni sudher gyee hai judayee main zindagii Haan woh jafaa say mujh peh tou ihsaan kar gyaa Khalid main baat baat per kehta thaa jis ko jaan Woh shakhs aakhrish mujhay be-jaan kar gyaa
Fairl_Girl
Age: 124
7516 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
1st one is cool chand wali suni hui hai but very nice
~tasha~
Age: 124
6553 days old here
Total Posts: 47628
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
nice collection
Rehan M Din
Age: 44
6560 days old here
Total Posts: 15020
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Cool collection
xcentric
Age: 124
6468 days old here
Total Posts: 14
Points: 0
Location:
,
Thanks everyone who appreciated me but u didn't follow what I said in my first post,... and now it's useless to say it again. Keep sharing what u have... cheers.
valandrian
Age: 2023
2416 days old here
Total Posts: 153147
Points: 10
Location:
,
valandrian
Age: 2023
2416 days old here
Total Posts: 153147
Points: 10
Location:
,
Reply to Topic