Azal say hai mohabbat mawra lafzoon ki malaa say Magar ye bhi haqeeqat hay Mohabbat soch k akash per badal ki soorat may Sada perwaaz karti hay Kabhi barish ki boondoon may simat kar dil ki dharty per Uterty hay - bikherti hay Adaa lai kar saba say ye , gulaboon say mahak lai ker Dhanak say rung lai kar aur sitaaroon say chamak lai ker Haseen anchal banaty hay Isy anchal say phir khowaboon k kuchay ghar banaty hay Mohabbat azmaty hay Kabhi ye shair bun kar lafz ki hurmat burrha ty hay Kabhi ye saaz bun kar dheeray dheeray gun gunaty hay Sarapa ankh bun jaty hay ye mehboob ko pakar Anokha lams bun jaty hay koi yaar may ja kar Najanay koun sa manter ye purrh kar holay holay say Kisy ki bund palkoon may bina dastak deye yak dam Uter kar ghar banaty hay Mohabbat muskuraty hay Ye khushboo hay hamaisha phool ki sansoon may ho ty hay Bana day chand tera shab ko jo ye aisa moty hay Kasal hay daimy is may, bahat benaam lizzat hay MOHABBAT KI YAHI TAREEF HAY K " YE MOHABBAT HAI "
Age: 124
7564 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
thx lg
Ghum unko bhi naseeb hote hain Jo log khush naseeb hote hain Hota hai aik hee koi apna Warna saare raqeeb hote hain Daulat-e-zindagi ki khuwahish hai Log kitne ghareeb hote hain Zakhm hum ko jo atta kerte hain Wo humare habeeb hote hain Hum ko dushman samajh rahe hain jo Wohi dil ke kareeb hote hain Dilon mein dard chupaney waley Khuwahishon ke saleeb hote hain
Age: 124
7564 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Yaadon ki parchayee mein ab to aaye tera hi cehra Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera