MILAD-UN-NABI (sal allaho alehe wasallam) KA SABOOT quran kareem,Ahadees -e-Mubarka aur mufsreen kay dalayel ki roshni main...... translation: "Yaqeenan bara ihsaan farmaya Allah talah ne momino per jab us ne bheja un main aik Rasool inhi main se,parhta hai un per ALLH ki ayaten aur pak karta hia unhain,aur inhin sikhata hia Quran o sunnat,agerchah woh is se pehlay khuli gumrahi main thay"(Surah-e-Aal Imraan:ayat-164) Is ayat main ALLAH talah ne poori dunya kay mominon say mukhatib ho kar farmay hai kay maery mehboob pak syedulalamin Muhammad Rasool Allah(sal allah o alahe wasallam) ki dunya main amad tamam musalmanon per bahot bara ihsaan hai,is lye kay Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) ki dunya mina amad se pehlay insaan khuli gumrahi main tha aur amad-e-Mustafa (sal allah o alahe wasallam) say har taraf kufr-r-o-shirk-o-zalalat ka bhyanak andhera chatna shroo hua aur chahar soo imaan kay noor ki roshni phaelna shroo hui.....Marha Ya-Mustafa ki sadain aur taranay kufr o shirk kay aiwanon say buland honay shroo ho gaye....Is manzar ko shair ne kya khoob bayan kya hai Amad-e-Mustafa hui,Kufr rawana ho gaya Jis kay Huzoor hogaye,Us ka zamanah ho gaya YOUM-E-WILADAT-E-AHMED MUJTABA(sal allah o alahe wasallam) Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) kay youm-e-wiladat main kisi ko bhi ikhtilaaf nahi hai kyuonkay khud Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) nay youm-e-peer kay din farmaya hia.Sahi -muslim kitaab us syaam mainhadees hai kay Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) say peer kay din kay rozay kay mutalliq poocha gaya to Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) nay farmaya : "Main peer kay din is lye rozah rakhta hoon kay main is din paidah kya gaya hoon" Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) nay apnay youm-e-millad ki khushi main ALLAH talah kay huzoor shukar ada karnay kay lye peer kay din rozah rakha kartay thay.is hadees ki roshni main Ulma nay Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) kay millad ki khushi mananay ka jawaz likha hai .chunancha is hadees ki sharah main saeed millat ghulam rasool saeedi mudzallah nay likha hai kay ahl islam ka yah mamool hia kay Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) kay milaad ki khushi main woh rozah rakhtay hain aur bararabi al awal ko sadqah khairat kartay hain (Sharah sahi-muslim:jild-3,page-169) Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) kay milaad ka silsilah sahaba karam (raziallah tala anho) kay daor main raha ,taba'een kay daor main bhi raha ,aaima mujhtahdeen kat daor main bhi raha.salasil-a-arba main bhi hai.ulma haqqah aur awam-e-ahle sunnat main aaj bhi hai aur qayamat tak rahey ga. MILAAD-E-MUSTAFAH(sal allah o alahe wasallam) PER KHUSHI MANANAY KA JAWAZ QURAN SAY allah talah nay Quraan kareem main farmaya : "Aap kahye,(yeh) Allah kay fazal aur is ki rehmat kat sabab sayhai ,so is wajah say musalman khushi manayen,yeh is maal se behtar hai woh jamah kartay hain."(Surah-e-Unas:Ayat-58) Is ayat ki tafseer main Saeed millat ghulam rasool saeedi likhtay hain kay:"Is ayat main ALLAH kay fazl aur is ki rehmat say Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) muraad hain,kyonkay ALLAH talah ka is kayanaat par sub se bara fazl yah hai kay us nay humian apna Pyara Mehboob Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) ata kya hai.Hum Allah kay is fazl yanii wiladat sarwar-e-do alam (sal allah o alahe wasallam) par jitni khushi manayen kam hai.Aur Allah ki ummat-e-Rasool(sal allah o alahe wasallam) par sub se bari rehmat yah hai kay is maalik o maula nay apna pyara memboob ata kya hai.Quran pak main khud Allah talah nay Rasool(sal allah o alahe wasallam) ko rehmat qarar dya hai.Surah-e-Anbya ayat number107 main Allah talah nay irsaahd farmaya :......."Nahi bheja hum ne aap ko magar tamam jehanon kay lya Remat banakar"..... Maloom hua kay hum per allah atalah ki sub se bari rehmat(sal allah o alahe wasallam) ki wiladat ki soorat main hui.is ayat say pata chala kay Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) kay Milaad ko Allah Talah ka fazl aur us ki rehmat samajh kar khushi manaii jaye,yeh Quran pak say azharminalshams hai(BatyanulQuran:jild:5page:409) Is ayat ki tafseer main Hazrat ibn e Abbas(Razi allah talah anho) likhtay hain:"QUL BEFAZL-ILALLAH AUR WABIREHMAT" se muraad Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) hain.So is ayat ki tafseer kay mutabiq is ayat ka myanai hua kay Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) ki zaat girami aur AAP ki wiladat per musalmanon ko khushi manani chahhye.Yeh baese sawab bhi aur baiese nijat bhi hai.yehi wajah hai kay Ulma,Mashaikh, aur awaum ahlesuunat saal kay tamam ayam main umuman aur 12 rabialawal main khususan Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) ki wiladat ka ziikr karna .AAP kay fazail o manaqib aur khasail bayan karna,sadqat o hydayah AAP ki baargah main qaboolyat ka zarya hai.Hazrat mulla ali qari nay milaad(sal allah o alahe wasallam) par khushi mananay aur jawaz kay upar Quran o hadis say 20 se zayd dalayal dye hain.Jin kay mutaley se na sirf Milaad (sal allah o alahe wasallam) ka jawaz milta hia balkay Imaan ka Imaan tazah ho jata hai hawalah kay lye(Al-moloodalrawi-fi-almaolood-al-nabvi:page7-8,Matbooa Madina almanawrah) HAZRAT SHAH WALI ULALLAH DEHALVI LIKHTAY HIAN: Aik martabah main Makka Mukarma main Huzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) ki milaad ki mehfil main shareek hua aur ahlearab AAP ki bargah main darood o salam arz kar rahy thay aur uzoor nab-e-kareem(sal allah o alahe wasallam) kay Milaad kay waqyat bayan kar rahy thay jo AAP ki wiladat kay waqt zahir hue.Hazrat Waliulaah farmatay hain kay "Main ne dekha kay achanak is mehfil main anwar o tajallyat ki barish ho rahi hai. (Ma Sabat Ba alsunnath:page102,Faiuzulharamain) MAULANA ABDUL-HAYEE LAKHNOVI LIKHTAY HAIN: Jis zamanay main batarz mandoob Mehfil Milaad ki jaye,Bayese sawab hai.Harmain Shareef ,Basrah,Yaman aur doosray mumalik kay log bhi rabi al awal ka chand dekh kar Milaad kartey hain,Charagha kartey hain,khushi ka izhaar kartay hian,Kar-e-khair kartay hian,Quran parhtey hian ,Naat aur samaat milaad ka ihtemam kartay hian aur rooh perwar mahafil ka ineqaad kartay hian ,yeh in kay mamoolat main shamil hain.(Majmooatalfatawah:jild2,page212) Milaad Mustafa(sal allah o alahe wasallam) mananay,Is per ajr o sawab milnay,Bargah e Nabvi say qabool honay aur AAP say Inaam o ekraam aanay kay mutalliq senkron Ulmaye karam nay dalayal dye hain jis se roz roshan ki tarah ayan hota hia kay Milaad Mustafa(sal allah o alahe wasallam) manana deen o dunya main ajro sawab aur rehmat o barkat ka bais.hashr main shafat e Mustafa ka bayes aur Akhrat main nijaat ka zarya hai. DUa hai kay ALLAH taleh humian MILAAD UN NABI(sal allah o alahe wasallam) mananay aur is ki barkaton,rehmaton,naimaton,nawazishon aur saadaton say faizyaab honay ki taufiq ata farmaye AAMIN Bajah syed al mursaleen(sal allah o alahe wasallam) ! (paish kash:Hazrat Allam Jamil ahmed Naeemi...Nazim taleemat dar-ul-uloom Naeema) writer:Maoulana Muhammad NaseerUlah Naqashbandi NazimDar-ul-Naeema Khateeb maeh Masjeed Irfanya c-Area Liaquat Abad Main ne MILAAD UN NABI(sal allah o alahe wasallam) mananay kay hawalay se aap ko saboot Quran kareem,Ahadees Mubarka,Aqwal-e-Sahebah,Fiqah,Muhadissin aur Mufsreen kay dalayal se aap kay saamnay peash kardya hai...aur refrences bhi de dye,aur Quran o ahadis se sabit bhi kardya to yaqeenan ab aap logon ko MILAAD UN NABI(sal allah o alahe wasallam) mananay se related saarey waham o khadshat door ho gaya hongay aur concept clear ho gay hongay.......ab is kay baad bhi koi baat smajhnay se qasir hai to ALLAH un ko samjhnay ki taufiq ata karey(AAmin) ALLAH buzrugobartar kakaram kay Us ne mujhay taufiq ata ki aap logon kay concept clear karnay ki towards MILAAD...