*-*-*-*-*-*-*-*

752 views 7 replies
Reply to Topic
cutefriend

Age: 39
Total Posts: 47726
Points: 0

Location:
London, United Kingdom
aj darya carha carha sa hai
koi ham se khafa khafa sa hai
jism jesye bhara bhara saghar
guftago main nasha nasha sa hai
nak naqsha bas ap hi jeesa
naam bhi kuch bhala bhala sa hai
seher yadoon ka ik basaya tha
ab nishan bhi mita mita sa hai
dil se ik roshni jahan main thi
yeh diya bhi bujha bujha sa hai
bagh hai ik phool lakhon hai
rang sab ka juda juda sa hai
sabnami agg bhi jalati hai
phool ka dil jala jala sa hai
kis ko fursat ke ik nazar dekhye
badar tanha bujha bujha sa hai
Posted 07 Apr 2007

Reply to Topic