Chand ka deewanapan to dekhiye
Aafatab to abhi talak gaya bhi nahi
Ki wo aa gaye bewaqt chandani ke deedar ko
Is deewane ka ishq samjhna mushkil hai
Khud jalta hai chandani ke intzar me
Ya jalata hai chandani ko intzar me
Koi purana aahiq sa lagta hai kabhi
To kabhi diljala sa lagta hai
Na jane kis hisab se chandani se pyar kiya karta hai
Kabhi badlo ke piche se chhup chhup
Chandni ka deedar kiya karta hai
To kabhi na aakar chandani ko saja e ishq bhi diya karta hai
Ajab si kahani hai is deewane ki
Rota nahi magar fir bhi dekhiye
Shabnam se iske ashqo ka hisab mila karta hai
Khabar na lage chandani ko usake jaane ki
Isliye hi shayad wo apana dard chhipa
Dhire dhire muskura kar ojhal hua karta hai
Chand ka deewanapan to dekhiye
Aafatab to abhi talak gaya bhi nahi
Ki wo aa gaye bewaqt chandani ke deedar ko
03453400042