sun_shine
Age: 124
7047 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Dunya ki mehfilon say ukta gaya hoon ya Rab
kya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho
shorish say bhaagta hoon dil dhoondhta hain mera
aisa sakoot jis per takdeer bhi fida ho
marta hoon khamoshi pe yeh aarzo hain meri
daaman main koh kay ek chota sa jhompra ho
Azaad fikr say hoon azlat main din guzaroon
duniya k ghum ka dil say kanta nikal gaya ho
lazat surood ki ho chidiyon ki chehchahon main
chashmay ki shorasho main baaja sa baj ra ho
ho haath a sarhana sabzay ka ho bhichona
sharmaye jis say jalwat,khalwat main wo ada ho
manoos is qadar ho soorat say meri bulbul
nanhay say dil main iskay,khatka na kuch mera ho
ho dil fareb aisa kohsaar ka nazara
Paani bhi mauj ban kar uth uth kay dekhta ho
aaghosh main zameen ki soya hua ho sabza
phir phir kay jhariyon main Paani chamak raha ho
mehndi lagaye sooraj jab shaam ki dulhan ko
surkhi liye sunehri har phool ki kuba ho
pechlay pehr ki koel,wo subha ki mauzan
main iska hamnawa hoon,wo meri hamnawa hain
phoolon ko aaye jis dam shabnam wazoo karanay
Roona mera wazoo ho,naala meri dua ho
is khamoshi main jaye itnay buland naalay
Taaron kay kaafilo ko meri sada daran ho
har dard mand ko rona mera rula day
behosh jo paray hain shayad unhay jaagay dey
(by:Allama Muhammad Iqbal)