Tumhari Qabr pe.......

1121 views 13 replies
Reply to Topic
sun_shine

Age: 124
Total Posts: 13494
Points: 0

Location:
Afghanistan, Afghanistan
Nida Fazli wrote this nazm at the death of his father. He was not able to reach the burial because of some problems, and he paid his tribute to his father in this nazm.


Tumhaari qabr per

tumhaari qabr par main
faatehaa paRhne nahi aayaa,

mujhe m’aaluum thaa, tum mar nahi saktay
tumhaare maut ki sachchi Khabar
jisne uRaa’ii thi, wo jhuTaa tha,
wo tum kab thay?
koi sookhaa hua patta, hawa main gir ke TuuTaa thaa.

merii aaNkheN
tumhaaray manzaroon mein qaid hai ab tak
maiN jo bhii dekhtaa huN, sochtaa huN
vo, vohii hai
jo tumhaarii nek-naamii aur bad-naamii ki duniyaa thi.

kahiiN kuch bhi nahi badlaa

tumhaare haath, meri ungliyoon mein saans letay hain
maiN likhne ke liye jab bhi, qalam kaghaz uThaata hoon
tumhe baiThaa huwa Main
apnii hi kursii meN paataa hoon,

badan mein mairay, jitnaa bhi lahuu hai,
wo tumhaari
lagzishoN, naa-kaamiyoN ke saath bahtaa hai,
merii aavaaz mein chhup kar, tumhaaraa zehn rehtaa hai,

meri biimaariyoN meN tum,
meri laa-chaariyoN meN tum

tumhaari qabr par jis ne tumhaaraa naam likhkhaa hai
wo jhuTaa hai,
tumhaari qabr main, maiN dafn hoon,
tum zindaa ho !
tum zindaa ho !

mile fursat kabhii, tau faatehaa Parhnay chaay Aanaa.

(Nida Fazli)

Posted 29 Apr 2007

Reply to Topic