barason ke baad dekha ik shakhs dil-ruba sa ab zehn mein nahi hai par naam tha bhala sa abruu khinche khinche se, aankhein jhuki jhuki si baatein ruki ruki si, lehja thaka thaka sa
alfaaz the k jugnuu aavaaz k safar mein ban jaaye jangalon mein jis tarha raasta sa
khaabon mein khaab uss k yaadon men yaad us ki neendon mein ghul gaya ho jaise k rat-jagaa sa
pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein woh harr tarah se lekin auron se tha judaa sa agli muhabbaton ne woh na-muraadiyan di taaza rafaaqton se dil tha dara dara sa kuch yeh k muddaton se ham bhi nahi the roye kuch zehr mein bujha tha ahbaab ka dilaasa
phir yuun hua k saavan aankhon mein aa basey the phir yuun hua k jaise dil bhi tha aabla sa
ab sach kahein to yaaro ham ko khabar nahi thi ban jaaega qayaamat ik vaaqeya zara sa
tevar the berukhi k andaaz dosti k woh ajanabi tha lekin lagta tha aashna sa
hum dasht the k dariya,, hum zehr the k amrit naahaq tha zoam hum ko jab woh nahi tha pyaasa
hum ne bhi uss ko dekha kal shaam ittefaqan apna bhi haal hai ab logo 'Faraz' ka sa