harf e dua yaad nahin

2616 views 20 replies
Reply to Topic
~CHANDNI~

Age: 124
Total Posts: 56416
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom

Hurf-e-Duaa Yaad Nahi

Hai Duaa Yaad magar Hurf-e-Duaa Yaad nahi
Mere Naghmaat ko Andaaz-e-Nawa Yaad nahi

Mai ne Palkon se Darya pe Dastak di hai
Mai wo Saa'il hoon jise koi Sada Yaad nahi

Hum ne jin ke lye Raahon mai Bichaya tha Lahoo
Hum se kehtey hain wohi Ahd-e-Wafa Yaad nahi

Kese Bhar aayi Sar-e-Shaam kisi ki Aankhein
Kese Tehrai Chiragon ki Ziaa Yaad nahi

Sirf dhundlaye Sitaaron ki Chamak dekhi hai
Kab hua, kon hua, kis se Khafa Yaad nahi

Zindagi Jabr-e-Musalsal ki tarah Kayi hai
Jane kis Jurm ki payi hia Saza Yaad nahi

Aao ek Sajda karein Aalam-e-Madhosi mai
Log Kehtey hain 'marriam' ko Khuda Yaad nahi.

Posted 22 May 2007

Bohat Khooob...

Posted 25 May 2007

~tasha~ says
Posted 25 May 2007

~CHANDNI~ says
Posted 25 May 2007

Posted 25 May 2007

~CHANDNI~ says

Tera Haath, Haath mein ho agar,

                         T ooo Safar hi asle hayaat hai.

                     Tere har kadam per hain manzilen,

                      Tera pyar gar mere saath hai.

                       Mer i baat ka meri hamnafaz,

                        Tu jawad de na de mujhe.

                      Teri ek chup mein hai chupi,

                      Woh Hazaar baaton ki baat hai.

                      Meri zindagi ka har ek pal,

                       Tere husna se hai juda hua.

                     Tere honth thirke to subah hai,

                           Te ri zulf bikhre to raat hai.

                     Tera Haath Haath mein ho agar,

                        To safar hi asle hayaat hai.

Posted 26 May 2007

cutefriend says
Posted 26 May 2007

apnayaar says
Ek bat kahun agar suntay ho tum mujh ko achay lagtay ho
kuch chanchal say kuch chup chup say kuch pagal pagal lagta hoy

hain per tum hay ek bat alag tum apnay apnay lagtay ho

yeh baat baat pay kho jana kuch kehte kehte ruk jana yeh kis uljhan main rehte ho
www.apnayaar.com
Posted 27 May 2007

~CHANDNI~ says
..

ISHQ

Ishq junoon bhi, sanjeedgi bhi hai
Yeh hawas bhi hai, pakeezagi bhi hai
Shokhi bhi hai ishq
Baanki adaaon pe lutnay ka naam bhi hai
Rooh-e-irtaqa-e-dil-o-dimaagh bhi hai
Zindagi ko samajhnay ka naam bhi hai
Ishq masrufiat bhi, fursat bhi hai
Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
Ishq riff'at bhi aur wuss'at bhi hai
Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
Yeh maasoomyat bhi, rakhshandgi bhi hai
Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
Zameen bhi hai aur aasmaan bhi hai
Magar ufaq ka iss main nishaan bhi hai
Kabhi bistar ki salwaton se
To kabhi mandir ki moorton se
Kabhi uryaaniyon ka shai'da
To kabhi meera-o-mariam ki moorton se
Ishq rog bhi hai magar madaawa bhi hai
Ishq parstish bhi, magar da'awa bhi hai
Rishton say sadaa judaa hai ishq
Isliye hi bana khuda hai ishq...
Posted 27 May 2007

cutefriend says
Posted 27 May 2007

~CHANDNI~ says
Posted 27 May 2007

oye chandni doosaron ki poetry main apna naam

v cool collection
Posted 27 May 2007

~tasha~ says
very kewl + eye catching pics
Posted 28 May 2007

~CHANDNI~ says

Teri tasweer meri ankhon main basee kyun hai

Teri tasweer meri ankhon main basee kyun hai

Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai

Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin

tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai

Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna

phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai

Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin

Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai

Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon

Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai

Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin

Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai

Posted 28 May 2007

~CHANDNI~ says
.Chahaton Ka Safar Umarr Se Lamba Hota Hai,
Apno Ka Diya Zakham Sabsey Gehra Hota Hai.
Ki Uss Zakham Ki Dawa To Woh Apna He De Gaya,
Jo Bhool Kar Humein Nayi Duniyaa Basaney Chalaa.
Ki Abb Na Chaheinge Kisi Ko Hum,
Ki Khush Hain Iss Tanhayee Mein Hum

Unki Chahat Ko Apni Mohabbat Bana Ke Dekh
Unki Hasi Ko Apne Hoton Se Muskurakar Dekh
Unke Ashkon Ko Apni Ankhon Se Girakar Dekh
Unki Bechainiyon Ke Apne Dil Main Basa Ker Dekh
Ye Mohabbat Ek Hasin Tohfa Hai Ae Dost
Kabhi Mohabbat Ko Is Tarah Bhi Nibhakar Dekh

.
Posted 30 May 2007

~CHANDNI~ says
Posted 03 Jun 2007

sun_shine says
Very nice and beautiful poetry collection
Posted 03 Jun 2007

~CHANDNI~ says
Posted 03 Jun 2007

~CHANDNI~ says

Vich Rabba, Main Apna

Ishq hai aisa rog chandra zakham umaran na jide bharde

ne,

Is rog de rogi umar sari,na jiunde ne na marde ne,

hai dinda hamesha je dard ishq ,khore log ishq kuo

karde ne

Hasda Vasda Si Dil Mera,Enu Ishq Da Rog Lava Baitha,

Ik Bholi Jehi Surat Naal Main Bin Samjhyaan Yaari La Baitha

,Phul Samajh Apnaaya Si

,Kandeyaan Ton Hath Chilva Baitha

,Kuch Mitheyaan Bolaan Khatir,

Gamaan De Rog Lava Baitha,

Is Ishq De Chakraan Vich Rabba,

Main Apna Aap Gawa Baitha.........

Akhaan Di Aadat Ban Gayi Hai Gal Gal Te Ron Di,

Dil Ne Zidd Fari Barbaad Hon Di,

Changa Hoya Yaara Tu begaani Ho Gayi,

Muk gayi chinta tainu apnaun di...

Teri Yaad Rudh Jandi Akhan Cho Pani Banke,

Ki khatya Es Rooh Ne Diwani Ban ke,

Bhaven Ho Gaya Hun Sadi Akhan Toh Dur,

Par Dil vich Wasya Hai Pyar Di Nishani Ban Ke.

Posted 04 Jun 2007

valandrian says
bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363
bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363bd32363

bd32363
Posted 06 May 2018

Posted 23 Sep 2018

Reply to Topic