- Talent -

1460 views 17 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 125
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
aik baat samajh nahi i

me ne aik baar nahi,,, hazaron baar logon ko yeh kehte suna hai k
PAK MEI TALENT KI KAMI NAHI,, YAHAN BHI AIK SE AIK TALENTED SHAKS MOJOOD HAI

baat se ikhtelaf nahi hai,, ho bhi nahi sakta kyun k baat sach hai
parrrr

kya dunya mei koi aisa mulk bhi hai jahan sabbbb k sab log dufffer hon,, aur kissi mei koi talent na ho

agar HAN,,, to woh konsa mulk hai
agar NAHI,, to phir apne "hidden talents" ki itni barai marne ki kya zaroorat hai

Posted 03 Jun 2007

sun_shine says
Har insaan talented hain bas uskay talent ko nikalnay k liye aik platform chahiye hota hain.aur yehi platform Asian countries main muyassar nahi hota.
Posted 03 Jun 2007

nahi na tu kisi bande mein 100% talent ho sakta hai ya phir 100% duffer ho sakta lolz agar pakistani films ki bat karo agar koi aik koi achi bana leta hai us mein bhi adhe se zeda singer indian hote hein ab bichare pakistani yehe kahe ge na hum mein bhi talent humain kyon nahi koi poochta lekin agar banda banda wese hi kehta piri tu mere khyal mein bhoot hi garor karta hai lolz
Posted 03 Jun 2007

sun_shine says
100% talent to i think kisi insaan main nahi hota,per talented log Pakistan main bhi hain.Talent sirf Films tak mehdood nahi hain baki Fields main dekhain ,talent hain per usko sahi jaga use nahi kiya jaa raha.
Posted 03 Jun 2007

Ashii says
me sirf movies ki baat nahi kar rahi
aik gnrl baat hai

okk sahi
yani masla opportunity ka hai
to woh kahan se mile gi
Posted 03 Jun 2007

sufian says
COLOR=ORANGE]teleant too har insan ma hota ha bus difreence itna ha k koi show kardeta ha ur koi kabii show nahii ho pata ha jesee k Quaid-E-Azam

am i right or not.............................
Posted 03 Jun 2007

sun_shine says
Ashii said:

me sirf movies ki baat nahi kar rahi
aik gnrl baat hai

okk sahi
yani masla opportunity ka hai
to woh kahan se mile gi

Mr Nice guy Sir nay shayad aik Example kay tor pay films ka tazkara kiya.

i think oppurtunity k liye platform Government muhayya kar sakti hain Agar chahay to.
Posted 03 Jun 2007

sun_shine says
sufian said:

COLOR=ORANGE]teleant too har insan ma hota ha bus difreence itna ha k koi show kardeta ha ur koi kabii show nahii ho pata ha jesee k Quaid-E-Azam

am i right or not.............................

yess Sir Aap nay sahi Kaha k koi show karta hain jab k koi show nahi karta.Per Show wohi log kartay hain jinkay paas acha platform ho.
Posted 03 Jun 2007

sufian says
ap kouch had tak thek han leken har kisee k pas acha to kya platrourm hee nahii hota but they proved themselves
Posted 03 Jun 2007

sun_shine said:

Ashii said:

me sirf movies ki baat nahi kar rahi
aik gnrl baat hai

okk sahi
yani masla opportunity ka hai
to woh kahan se mile gi

Mr Nice guy Sir nay shayad aik Example kay tor pay films ka tazkara kiya.

i think oppurtunity k liye platform Government muhayya kar sakti hain Agar chahay to.

yep i just gave an example...
Posted 04 Jun 2007

sun_shine says
Yaa yehi to baat hain k Platform nahi hota per jo log apnay talent ko proove kar daitay hain wo extra ordinary hotay hain.agar platform muyassar aa jaye to i think talent saara samnay aa jayega.
Posted 04 Jun 2007

nikama says
ager talent platform ka muhtaj he to phir vo kis kaam ka .
main yeh feel kerta hoon k we pakistani as a nation excell in all devious and dubious fileds,like money laundering,ball tempering,insider trading(which is quite an issue these days)but i dont know why we are not yet able to show the world our 100% in positive areas.
Posted 05 Jun 2007

sun_shine says
Har kaamyabi k liye ek raasta hota hain .Agar main Talented hoon per meray paas acha platform nahi to iska kya faida?
Posted 05 Jun 2007

nikama says
platform zaroori he lekin kya sab kuch provide kerna gov. ki hi responsibility he,aur ager he to itne dher sare talented logon main se gov.main kya koi bhi nahin gaya jo in baaton ko sochay.
talent ko channelise kerna state responsibility he lekin is ko utilise kerna to afterall individual ka apna kaam he na.
Posted 05 Jun 2007

sun_shine says
Agar 50% individual ka kaam hain to 50% Govt ki responsibility bhi hain.Meray Khayal main agar Govet ko Logo ki fikar hoti to aaj Mulk ka yeh haal na hota.
Posted 06 Jun 2007

sharmili says
Its not about talent only. Its about opportunity,and the circumstances. People are talented all over the world. The word "Talent" is very broad in nature. Talent can be as simple as reading a book.

In my opinion, when people talk about talent in pakistan, they are just stating the fact that it has a pool of educated people. These people if provided proper opportunities and circumstances, can not only help themselves, but others around them. Again, the help can be as simple as following the traffic rules (which no one does in pakistan).
Posted 07 Jun 2007

valandrian says
bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007
bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007bd44007

bd44007
Posted 20 May 2018

Posted 23 Sep 2018

Reply to Topic