Sounoo!!!!
tum ajnabi hii sahii magar
doo chaar moulaqatoon mein
meethi meethi sii baatoon mein
tum apney apney sey lagtey hoo
lufz tumhaarey
jadu saa kar deytey heyn
ang ang mein khushyaan
bhar deytey heyn
tumharii hassi kii jaltarang
ik taazgii ik umang
joo sehraa-e-dill pey
ban key ghatta
bond bond barastii hey
seeraab kar deytii hey
weeraan aankhoon mein
haseen khwaab bhar deytii hey
sounoo!!!
tum ajanabii hii sahii magar
tum sey mill key dill mera
gungunaneyn laga hey
muskuraaneyn laga hey
tumheyn chahneyn laga hey,,,,,
apni aik aur taaza nazam aap key leyey