SHAB KAY JAGAY HOWAY

2334 views 20 replies
Reply to Topic
Rehan M Din

Age: 44
Total Posts: 15020
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan

Raat bhar deeda e namnaak mein leharaathay howay
saans ki.. tarahe se aap atay rahay jatay rahay

shab k jaagay howay taaroan ko bhi neend aanay lagi
Aap k aanay ki ek aas thi ab jaaane lagi

Khush thay hum apni tamannaon k khawb aayaega
nazerain nichi kiye sharmaaye hoay aayega
kakolay chehre pe bikhraaye howay aaayega
patiyaan khadki to hum samjhe ke aaap aa hi gaye
sajday masjood pe maabood ko hum paa hi gayi

shab k jaagay howay taaroan ko bhi neend aanay lagi
Aap ki aanay ki ek aas thi ab jaaane lagi

Subhu ne saij se uth-tey huway lee angrraayi
Aye subha tuu bhi jo aayi to akeli aayi
Mery mehboob mere hosh udane vaali
mery masjood meri rooh pe chaanay vaali
Aa bhi ja aa kay teray kadmoan pe meri jaan niklay
Aa bhi jaa aa kay meray sajdon ka armaan niklay

shab k jaagay howay taaroan ko bhi neend aanay lagi
Aap k aanay ki ek aas thi ab jaaanay lagi

Raat bar deeda e namnaak mein leharaatay howay
Saas ki tarahe se aap aaatay rahay jatay rahay.



Posted 20 Jun 2007

Reply to Topic