Ashii
Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0
Location:
France, France
Hum jo shayar hein na ae jaan meri
Hum sitaaron ki tarha hote hein
Dard ban ban ke chamakte hein khalaoon mei
Safar karte hein jugnu'on ki tarha
Hanste hoe bujhte hoe dil ko liye
Timtimate hein muhabbat se bhare
Hum jo shayar hein na ae jaan meri
Hum to ashkon ke katron ki tarha hote hein
Behne lag ja'ain to behne lag ja'ain
Hum jo shayar hein na ae jaan meri
Bhoole bhatkon k liye, hum to isharon ki tarha
Hum to saharon ki tarha hote hein
Gham mei doobe hoe chup chaap nazaron ki tarha
Dil ke mazaron ki tarha
Hum jo shayar hein na ae jaan meri
Baaz okat baharon ki tarha lagte hein, par
Hote nahi
Zakhmon aur phoolon ke khilne mei bohot fark hoa karta hai
Ashii
Age: 124
7743 days old here
Total Posts: 31001
Points: 0
Location:
France, France
areyyy.. HUM,, like me, tum, ye, wo and HUM..
HUM = WE
HUM HUM HEIN NAAAA.. u wont get :p