May Be
Age: 124
Total Posts: 1036
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Tangdasti, beemari, pareshaani aur fautgi(intiqal) per baaz log sadme aur pareshaani k sabab baaz log "na'auzubillah" kalmaat-e-kufr keh dete hain.
Allah per aiteraz karna, is ko zaalim ya zarooratmand ya mohtaaj ya aajiz samajhna yaa kehna yeh sab kufr hai yaad rakhiye bila ikraahe sharayii hosh-o-hawas mei sareeh kufr bakne wala aur maa'ne(meaning) samajhne k bawajood haan mei haan milaane wala balke taa'eeed karne wala bhi kaafir hojaata hai aur nikaah toot jaata hai be'yat khatam hojaati hai aur zindagi bhar k nek aa'mal barbaad hojaate hain ager haj kar liya tha to woh bhi gaya ab baad tajdeed-e-iimaan saahib-e-istitaa'at hone per naye sire se haj farz hogaya
Mushkilaat k waqt bake jaane waale kufriyaat kii misaalein
1. Falaan saahab logon k saath kuch bhi karein Allah ki taraf se un ko full azaaadi hai
2. Hum un k saath ager thora bhi kuch kar lein Allah humein foran paker leta hai
3. Allah ne hamesha mere dushmanon ka saath diya hai
4. Hamesha sab kuch Allah per chhor k dekh liya kuch nahi hota
5. Allah ne meri qismat abhi tak zara achi nahi banaayi
6. Shayad Us k khazaane mei mere liye kuch bhi nahi, meri duniyawi khuwahishaat kabhi poori nahi huein, zindagi bhar meri koi dua qabool nahi hui jis ko chaha woh door chala gaya, har khuwaab mera toota tamaam armaan kuchle gaye , ab aap hi batayein mai Allah per kaise iimaan laoun?
7. 1 shaks ne humari naak mei dam kar rakha hai maze ki baat yeh hai k Allah bhi aison k saath hota hai
8. Jis shakhs ne museebaten aane per kaha aye Allah tuu ne maal le lia, falaan cheez le lii, ab kya kare ga? ya ab kya chahta hai? ya ab kya baaqi reh gaya? yeh kehna wala kufir hai
9. Jo kahe Allah ne meri beemari k bawajood mujhe azaab diya to is ne mujh per zulm kiya yeh kehne wala kaafir hai
10. Allah ne hamesha bure logon ka saath diya
11. Allah ne majbooron ko aur pareshaan kiya hai
Tangdasti ki waja se kahe jaane wale kufriyat ki misaalein
12. Jo kahe "aye Allah mujhe rizk de aur mujh per tangdasti daal ker zulm na kar" aisa shaks kaafir hai
13. siyaasi panaah lene ya tangdasti ki waja se kuffar k yahan naukri ki khatir visa form per yaa kissi tarah ki rakam(daulat) waghaira ki bachat k liye darkhuast(request) per ager khud ko jhoot moot ka eesaai(christian) yahoodi (jews) ya qadiyani ya kissi bhi kaafir giroh(community) kaafir likha ya likhwaya tab bhi kaafir hogaya
14. kisi se maali imdad ki darkhuast(request) karte hue kehna ya likha k ager aap ne kaam na kar dia to mai qadiaani, iisaai ban jaoun ga aisa kehne wala foran kaafir hogaya yahan tak k bilfarz ager koi kahe k mai 100 sal k bad kaafir hojaoun ga woh abhi se kaafir hogaya
15. kisi ne mashwara diya k kaafir ho jao to woh kaafir bane ya na bane mashwara dene wala kaafir hochuka. kisi ne kufr baka ya kisi per hukum kufur laga is per raazi hone waale per bhi hukum-e-kufr hai kyun k is ne kisi k kufr mei mubtila hone ko pasand kiya aur kufr ko pasand karna bhi kufr hai
16. ager waqai Allah hota to ghareebon ka saath deta maqroozon ka sahaara hota
Aiteraz ki soorat mei kahe jaane waale kufriaat ki misaalein
17. Jab Allah ne mujhe duniya mei kuch nahi diya to Aakhir peda(create) hi kyun kiya! yeh kehnaa kufr hai
18. Kissi miskeen ki mohtaaji ko dekh ker yeh kaha Allah falaan bhi tera banda hai us ko tu ne kitni en'maten de rakhi hain aur aik mai bhi tera banda hoon mujhe kis qadr ranj-0-takleef deta hai! aakhir yeh kya insaf hai?
19. kehte hain Allah sabr karne waalon k saath hai mai kehta hoon yeh sab bakwaas hai
20. jin logon ko mai pyar karta hoon woh pareshaan rehte hain aur jo mere dushman hain Allah un ko buhat khush haal rakhta hai
21. Kaafiron aur maaldaron ko raahatein aur naadaaron per aafaten bus ji Allah taa'la k ghar to saara nizaam hi ulta hai
22. ager kissi ne apni ya kissi aziz kii bimaari, ghurbat ya museebat ki zyadti ki waja se Allah per is tarah aiteraz kiya maslan kaha Aye mere Rabb tuu kyun zulm karta hai halaanke mai (ya us) ne to koi gunaah kiya hi nahi to woh kehne waala kaafir hai
Fautgi k moqe per kahe jaane waale kufriyat ki misaalein
23. Kissi ki maut hogayii is per doosre ne kaha Allah ko aisa nahi karna chahiye tha
24. kissi ka beta faut hogaya us ne kaha Allah ko yeh chahiye hoga yeh kehna kufr hai kyun k kehne waale ne Allah ko muhtaaj karaar diya hai
25. kissi ki maut per aam tor per log keh dete hain Allah ko naa jaane is ki kya zaroorat par gayii jo jaldi bula liya ya kehte hain Allah ko bhi nk logon kii zaroorat parti hai is liye jaldi utha leta hai(yeh sun ker maa'ne (meaning) samajhne k bawajood log han mei han milaate hain ya taa'eiiid mei sar hilaate hain in sab per kufr hai)
26. kissi ki maut per kaha Yaa Allah is k chhote chhote bachon per bhi tujhe tars na aaya
27. jawan maut per kaha Yaa Allah is ki bhari jawani per hi reham kiya hota ager lena hi tha to falaan buddhhe ya budhiya ko le leta
28. Yaa Allah aakhir is ki aisi kya zaroorat par gayiii k abhi se bulaa liya
Tajdeed-e-Iimaan(az-sar-e-nau iimaan laane ka tareeqa)
Dil ki tasdeeq k baghair sirf zabaani toba kaafi nahi hoti maslan kissi ne kufr keh diya us ko doosre ne behla phusla ker is tarah toba karwaadi k kufr baknne waale ko maalom tak na hua k mai ne falaan kufr kiya tha yun toba nahi hosakti, is ka kufr ba'dastoor baaqi hai. jis kufr se toba maqsood hai woh ussi waqt maqbool hogi jab woh us kufr ko kufr tasleem karta ho aur dil mei is kufr se nafrat-o-bezaari bhi ho jo kufr sar zad hua toba mei us ka tazkara bhi ho. Maslan jis ne visa form per apne aap ko iisaai(christian) likh dia woh is tarah kahe Yaa Allah mai ne jo visa form mei apne aap ko isaaai zaahir kiya hai us kufr se toba karta hoon. Laa' ilaha illallahu mohammadur Rasoolullah Salallahu alaihi wassalam. Is tarah makhsoos kufr se toba bhi hogayii aur tajdeed-e-imaan bhi. Ager Ma'zAllah kayiii kufr kahe hon ager yaad na ho k kya kya kaha hai to yun kahe Yaa Allah mujh se jo jo kufryat hue hain mai in se toba karta hoon phir kalma parh le ager tarjume ka meaning pata hai to dohraane kii zaroorat nahi.
Ager yeh maloom nahi k kufr kaha bhi hai k nahi tab bhi ager ehtiyaatan toba karna chahein to is tarah kahein Yaa Allah ager mujh se koi kufr hogaya ho to mai us se toba karta hoon yeh kehne k baad kalma parh len
Mashwara:
Rozana Raat ko sone se kabl ehtiyaatii toba aur tajdeed-e-iman kar lena chahiye aur ager ba asaani gawaah dastiyaab hon to miyaan biwi toba kar k ghar k andar mei kabhi kabhi ehtiati tajdeed-e-nikaah bhi kar liya karein. Maan, baap, behen, bhai, aur aulad waghaira aaqil baaligh musalmaan mard-o-aurat k gawah ban sakte hain( ehtiyaati toba, tajdeed-e-iman aur tajdeed-e-be'at waghaira k bad agar yaad aaya k toba se pehle falan kufr hue the to ab dil mei un se bezaari kaafi hai dobara toba waghaira ki haajat nahi albatta kufr yaad aane se kabl ager baghair meher(aurat ka) muqarrar kiye ehtiyaati tajdeed-e-nikaah kiya tha to ab "meher misl" yaani umooman us khaandaan mei aurton ko jo meher diya jata hai us ki adaayegi waajib ho jayegiii)
Tajdeed-e-nikaah ka tareeqa:
Tajdeed-e-nikaah ka maa'ne hai "naye meher se naya nikaah karna" us k liye logon ko jama karna zaroori nahi. Nikaah naam hai iijab-o-qabool ka haan bawaqt-e-nikaah bator gawah do mard ya aik mard aur do aurten (musalmaan) ka haazir hona laazmi hai. Khutba nikaah shart nahi balke mustahab hai khutba yaad nahi to A'uozubillah aur bismillah shareef k bad sura faateha bhi parh sakte hain. kam az kam 2 tola sarhe saath maasha chandi ya us ki rakam meher waajib hai maslan aap ne 313 rupe(amount may vary from market to market and time to time) udhaar meher ki niyyat kar liii hai to ab mazkoora gawahon ki mojodgi mei aap iijaad kijiye yaani kahiye aurat se "mai ne 313 rupe meher k badle aap se nikah