Ek dafa hazrath moosa ney ALLAH se kaha ki kiya accha hota ki agar chaar chizen hoti aur chaar naa hoti.........{ 1 } -Zindagi hoti aur maut na hoti.[ 2 } jannath hoti dozakh na hoti.{ 3 } ameeri hoti gareebi na hoti.{ 4 } tandrusti hoti bemari na hoti..........Aasmaan se awaaz aayi Moosa!"Agar Zindagi hoti aur maut na hoti tho mera deedar kaise hota....Agar jannath hoti dozakh na hoti tho mere azaab se kaun darta.........Agar duniya mein ameeri hoti gareebi na hoti tho mera shukr kaun ada karta.........Agar tandrusti hoti bemaari na hoti tho mujhe yaad kaun karta..........Jab yeh baat hazrath moosa ne suni tho kaha:Aye Allah! beshakk terey har kaam mein koi na koi achchaayee zaroor hoti hai...........