shahrukh khan said:*islam main tu aisey log exist nahi kartey...
Aasera said:
shahrukh khan said:*islam main tu aisey log exist nahi kartey...
hain?
to kia yah log jismani tor par diff nahin hotay?
Aasera said:
shahrukh khan said:*islam main tu aisey log exist nahi kartey...
hain?
to kia yah log jismani tor par diff nahin hotay?
Doctor Sam said:
i saw ur name Aasera, which brought me here and then this topic.
Exist na karnay ka kya matlab hai ..? Allah ne banaya hai un logon ko .. aor Yaqeenan Islami Taleemaat main aisay logon k liye bhi Kuch baatain hongi... Lekin hum log nahi jantay aor na hum ne kabhi jannay ki koshish ki hogi (aaj se pehle) ...
Ye hamari society ka almiya hai k hum log In LOGON ko respect nahi de saktay, hum inko nachtay gatay e dekhte hain, hum ne kabhi nahi socha Unki education, job aor aik respected life k baaray main... Ye MOASHRAY Ki ghalti hai..
Wo khud se to aisay nahi banay, they deserve a better and respected life like all of us Unless they are interested in those bad things ..
Aasera said:darmiyane yani hijrhe (never liked this word)
ab yah to aap jantay hi ho kay yah kon hain and kia kartay hain.
but mairay zahn main kuch sawal hain, jin kay jawab agar kisi kay pas hon to zaror day.
Islam kia kahta hay about em?
jaisay yah log rahtay hain,and jo kaam yah kartay hain kia yah sahi hay???
ab na to yah mard hotay hain na auratain, to un ko kaisi life guzarni chahiyay? what about praying and other stuff?
and agar kisi k ghar main aisa bacha paida ho to, parents ka kia farz banta hay???
and mano kay wo log yah sab nach gana etc chorh kar, aam life guzarna chahain,
PAKISTAN main,other countries ki bat nahin kar rahi main, and aam places par jobs karain, studie karain, aap kay kids, bro sis, etc say dosti karain to yah sab daikh kar aap ko kaisa feel ho ga???
please dont start judging em
Ashii said:yarrrr hamari parda daar society mei middle class gharon mei "dancing girls" ko invite nahi kiya jata,, aurton ka nach gana thori 'mayuub' si baat hai,,
aur iss ka alternative hum logon ne yeh dhoonda hai
its shameful the way ppl talk abt them or treat them,, we shd accept them the way they are,, kyun k agar woh medicaly unfit hein to yeh Allah ki marzi hai,,
Ashii said:
now a question
y there s such a big number of "darmiyane" in india and pakistan ??
well its coz half of them are not
i recently learnt that a lot amongst them are men... KYUN ka jawab mere paas shayad nahi hai,, par woh KYA karte hein ka jawab hai
madgirl* said:huhhhhhhhhhhh
very serious topic
janab pehla sawal....
islam ne in ka darja aulia-e-karam se zyada buland kar rakha hai agar ye serf deen k faraiz hi ada kar le yaani namaz roza waghera or ye jo kaam ye karte hai is ko chhor k koi or jaaiz kaam...
madgirl* said:jaha tak baat in k ibaadat k tareeqa kaar pe aati hai waha beheshti zewar mai likha gaya hai k jo in ko lagta hai k wo mard zyada hai,ya un mai naswaani unsar zyada hai to usi tareeqa pe ibaadat ki jaaye
madgirl* said:maa baap ka farz ye hai k inhe bhi apne doosre aam bacho ki tarha paale or kia aap ne wo hadees nahi suni jis ki tashreeh is tara hai jo insan apni do betio ki parwarish ache tareeqe se karega qayamt k din wo MOHAMMAD (PBUH)k itne hi qareeb hoga jesa k humari shadat ki ungli or darmyaan waali lambi ungal to bhai mere socho zara in ka darja kitna buland hoga???????
madgirl* said:baaqi agar koi or confusion hai to thore dino ka waqt do k mai kuch or kutub parhoo or kuch logo se is k baare mai information jama kar k aapko bataoo
aap bhi SAHA SATTA ki 6 kitaabo mai se kisi bhi ek ka mutaala kijyega jawab mil jaayega