jawab e shikwa

8597 views 51 replies
Reply to Topic
Barsaat

Age: 124
Total Posts: 1440
Points: 0

Location:
Afghanistan, Afghanistan
why dont girlz wear hijab these days

is shikway k jawab main hamara shikwa aya hay kay

aaj kal kay mard, sir dhanp kar kion nahin rakhtay??? jabkay un ko bi sir dhanpnay ka hokum hay
(corect me if i am wrong)

aaj kal kay mard takhnon say upar, shalwar ya pant kion nahin kartay??? jabkay is ka to kaafi sakhti say hokum hay

y y y

topic ka maksad mardon say fight karna nahin hay,
coz i do wear hijab,
balkay maksad yah hay kay mard, auraton kay fashion, hijab etc ko chorh kar
apnay farzon par agar dehan dain to un ki akhrat sanwar sakti hay
what girls do or not do, wo un ki prb hoi, unhon nay apnay amaal ka hisab daina hay, and aap nay apnay.

to kia aap log kabi sochtay hain kay, aap log kitnay islami farz puray kartay hain, ya nahin kartay???

yah jo hair styles hain, yah jis tarha kay kaprhay aap pahntay ho, darhi etc... yah sab, sahi hay ya ghalat???

in kay jawab dhondho to aap ka hi faeda ho ga ,k nahin?

Aasera said:

and asal bat sirf mard aurat k maslay ko samnay lana bi nahin tha, balkay maira point yah tha kay,
ham log har hot topic ko lay kar hi bat kion kartay hain?
aur bohat say hazaroon maslay hain, info hay, jiska hamain pata hi nahin hay, and un main say BOHAT si aisi batain hain jo hamaray liyay jan.ni bohat zarori hain,to jo time ham dusron par attack karnay main lagatay hain, and same hi bat ho discuss kartay rahtay hain to, agar wohi time khud islam ko jan.nay main lagain to hamara hi bhala hay.

Posted 13 Sep 2007

Bazigaar says
Aasera said:

aaj kal kay mard, sir dhanp kar kion nahin rakhtay??? jabkay un ko bi sir dhanpnay ka hokum hay
(corect me if i am wrong)

to begin with...can u give a reference where it says guys gotta cover their heads?

baki baat baaad mae kerain gae..we gotta go step by step right?
Posted 14 Sep 2007

May Be says
looking for other comments. then i will post mine.
Posted 14 Sep 2007

Doctor Sam says
As i said in other topics, Log buss behas karne main khushi mehsoos kartay hain... isi main time guzar jata hai ..

Aik baar meri class main ye topic chirda tha by boys side k larkiyan hijaab kion nahi letien... Aray Logo Aap pehle apni line to seedhi karo ... theek hai achi baat batao zaroor. lekin istarah nahi k attack karna shuru kar do...

Islam main achi baat batanay aor buri baat se rokne ka bhi sawaab hai, lekin aap impose nahi kar saktay.

Same problem ... humain sirf behas karni hai .. baat nahi sunni na samajhni hai ...

Behna.. what do u think aap k answers ka koi theek jawab day ga... ? bohat mushkil hai, aik useless discussion start ho jaye gi...
Posted 14 Sep 2007

Bazigaar says
Doctor Sam said:

...and u think u r the only one who will seriously reply to the topic
Posted 14 Sep 2007

Barsaat says
Bazigaar said:

to begin with...can u give a reference where it says guys gotta cover their heads?

baki baat baaad mae kerain gae..we gotta go step by step right?

bohat time pahlay kisi book main aisa kuch parha tha,
reference yad hota to likh daiti, and agar 100% sure hoti to yah kabhi na likhti kay CORECT ME

and dusri baat Bazi bro, yah topic aap kay liyay to hargiz nahin banaya ,you know why? coz i know aap kay pas kafi knowledge hay about islam.

and asal bat sirf mard aurat k maslay ko samnay lana bi nahin tha, balkay maira point yah tha kay,
ham log har hot topic ko lay kar hi bat kion kartay hain?
aur bohat say hazaroon maslay hain, info hay, jiska hamain pata hi nahin hay, and un main say BOHAT si aisi batain hain jo hamaray liyay jan.ni bohat zarori hain,to jo time ham dusron par attack karnay main lagatay hain, and same hi bat ho discuss kartay rahtay hain to, agar wohi time khud islam ko jan.nay main lagain to hamara hi bhala hay.

Posted 14 Sep 2007

Barsaat says
Sami Doci, upar wali post main mainay apnay topic bananay ka maqsid likh diya hay

+ yah bat sirf forums kay liyay nahin kahi balkay real life main bi aisa hi hota hay
mairi aksar logon kay sath bahs hoti hay about it, coz
yahan aisa hi kartay hain log, aap ko kisi bi bat par tok daingay, and jab unko ahsaas dilao kay, AAP BI TO KUCH AISA KARTAY HO JO BILKUL ISLAMI NAHIN HAY, ya KUCH ISLAMI FARZ HAY JO AAP KO KARNA CHAHIYAY BUT AAP NAHIN KARTAY to answer milta hay, mujhe nahin pata tha ya phir yah k ham farishtay to nahin hain
jaisay kay dusra shaks farishta ho

and jaisa aap nay kaha kay achi bat hay kisi ko bura kam karnay say rokna, ya phir kuch achi info daina, to yes hay,
but aisi info usi insan say sun kar asar karti hay jo khud bi aisi baton par amal karta ho.

Posted 14 Sep 2007

Bazigaar says
Aasera said:

and dusri baat Bazi bro, yah topic aap kay liyay to hargiz nahin banaya ,you know why? coz i know aap kay pas kafi knowledge hay about islam.

agar ye tanz hae to okie let's laugh
agar serious hae to thanks

Aasera said:

and asal bat sirf mard aurat k maslay ko samnay lana bi nahin tha, balkay maira point yah tha kay,
ham log har hot topic ko lay kar hi bat kion kartay hain?
aur bohat say hazaroon maslay hain, info hay, jiska hamain pata hi nahin hay, and un main say BOHAT si aisi batain hain jo hamaray liyay jan.ni bohat zarori hain,to jo time ham dusron par attack karnay main lagatay hain, and same hi bat ho discuss kartay rahtay hain to, agar wohi time khud islam ko jan.nay main lagain to hamara hi bhala hay.

yup that's true...agree with that
Posted 14 Sep 2007

Barsaat says
lol not tanz, aap ki bohat si posts read ki hoi hain islam section main

shukar maira maqsad to samajh aya
Posted 14 Sep 2007

Bazigaar says
Aasera said:

lol not tanz, aap ki bohat si posts read ki hoi hain islam section main

shukar maira maqsad to samajh aya

aur shuker hae meri posts koi read to kerta hae..i thought ke lol chalo good luck with topic...over and out
Posted 14 Sep 2007

Barsaat says
thankz, auron ka to pata nahin, i alwz read your posts and topics, coz you got a unique style.

acha ab back to topic,
balkay i dont think so kay mujhe bi kuch aur kahnay ki zarorat hay is topic main

Posted 15 Sep 2007

friend_16 says
Doctor Sam said:

As i said in other topics, Log buss behas karne main khushi mehsoos kartay hain... isi main time guzar jata hai ..

Aik baar meri class main ye topic chirda tha by boys side k larkiyan hijaab kion nahi letien... Aray Logo Aap pehle apni line to seedhi karo ... theek hai achi baat batao zaroor. lekin istarah nahi k attack karna shuru kar do...

Islam main achi baat batanay aor buri baat se rokne ka bhi sawaab hai, lekin aap impose nahi kar saktay.

Same problem ... humain sirf behas karni hai .. baat nahi sunni na samajhni hai ...

Behna.. what do u think aap k answers ka koi theek jawab day ga... ? bohat mushkil hai, aik useless discussion start ho jaye gi...

we come here to discuss different matters not to "argue" .. if someone is asking a question it doesn't means that he/she wants to argue.. as i said before as well that its a human right to know. let people clear their minds .. and if u think they are arguying simply don't reply...
Posted 15 Sep 2007

friend_16 says
koi kia kerta hai.. Qayamat k din, it won't matter.. sab say sirf usi k baaray mein poocha jaiy ga ...

so before saying anything to others apni taraf bhee daikh liya karein.. k khud kahaan sahe hein aur kahaan ghalat..
Posted 15 Sep 2007

Barsaat says
yahi to maira point hay.
i dont like judging ppl, and only un baton ki hi nasihat karti hon, jin par main khud amal karti hon.

Posted 15 Sep 2007

Bazigaar says
wesaay apas ke baaat hae...i think k mae ne bhi kaheen read kiya thaa long long time ago about men covering their head..i am leaving for friday prayers..a ker i will check into that and get back
Posted 15 Sep 2007

friend_16 says
Aasera said:

yahi to maira point hay.
i dont like judging ppl, and only un baton ki hi nasihat karti hon, jin par main khud amal karti hon.

waisay hamaray points kaafi miltay hein..

Posted 15 Sep 2007

Bazigaar says
Bazigaar said:

wesaay apas ke baaat hae...i think k mae ne bhi kaheen read kiya thaa long long time ago about men covering their head..i am leaving for friday prayers..a ker i will check into that and get back

k i was wrong i guess, men r onl;y suppose to cover head when saying prayers..that's what i found...
Posted 15 Sep 2007

Ashii says
awwwwwwwwwwww
balich ho ri haaaiiiiiii

wellllllll
baat sirf itni hai k hum lognon ka ISLAM aurat se shuru ho k aurat pe khatam hota hai

hamare yahan k mard aur buzurg sochte hein k AURTON ko NAIK bana do to sab theek ho jae ga,, baat theek bhi hai kuyn k bache ko tarbiyat maa hi deti hai

pb sirf itni si hai k iss dhaki chupi dari hui aurat ko Islam k baare mei namaz, rozay, hajj aur parde k ilawa kuch bhi nahi sikhaya jata,, us k paas na itna ilm hota hai na itni himmat k apne bachon ko NAIK musalman bana sake

doosra reason mard ki apni kamzori hai
uss k baare mei i wont say much,,, bohot dhulai hogi
Posted 16 Sep 2007

friend_16 says
keh do na ashii .. parda hata do ab ..

mard yehi sochtay rahain gay k aurton ko theek ker do khud tu theek ho jain pehlay ..
Posted 16 Sep 2007

Doctor Sam says
Bazigaar said:

Doctor Sam said:

Behna.. what do u think aap k answers ka koi theek jawab day ga... ? bohat mushkil hai, aik useless discussion start ho jaye gi...

...and u think u r the only one who will seriously reply to the topic

Aray bazi bhai ... i dont think I m the only One... Not At all.. Infact, it was my observation , i have seen many serious topics which end up gaining nothing.. Jese ye topic main baat Men k sr cover karne ki ho rahi hai, to usually aisa hota hai k boys girls ko blame karne lagtay hain k wo parda nahi kartien, pehle khud ko theek karain etc etc.. aor girls boys ko.. aor aakhir kaar, Ye sab aik BEHAS ban jati hai ... aor iska faeda koi nahi hota ....

So aap ye samajh lain k main ne itne saray sentences ko 3 4 sentences main khatam karne ki koshish ki thi ..
Posted 17 Sep 2007

Doctor Sam says
Aasera said:

Sami Doci, upar wali post main mainay apnay topic bananay ka maqsid likh diya hay

+ yah bat sirf forums kay liyay nahin kahi balkay real life main bi aisa hi hota hay
mairi aksar logon kay sath bahs hoti hay about it, coz
yahan aisa hi kartay hain log, aap ko kisi bi bat par tok daingay, and jab unko ahsaas dilao kay, AAP BI TO KUCH AISA KARTAY HO JO BILKUL ISLAMI NAHIN HAY, ya KUCH ISLAMI FARZ HAY JO AAP KO KARNA CHAHIYAY BUT AAP NAHIN KARTAY to answer milta hay, mujhe nahin pata tha ya phir yah k ham farishtay to nahin hain
jaisay kay dusra shaks farishta ho

and jaisa aap nay kaha kay achi bat hay kisi ko bura kam karnay say rokna, ya phir kuch achi info daina, to yes hay,
but aisi info usi insan say sun kar asar karti hay jo khud bi aisi baton par amal karta ho.

Ths wt i was trying to say.. Yaqeenan aisa ho raha hai ..Kuch logon ko doosron ko toknay ka kuch zyada shoq hota hai, aor wo khud ko dekhay baghair doosron ko achi baatain zabardasti batanay k mission pe lagay hotay hain..

BUT there is a point... Dekho agar aap ko koi achi baat bata raha hai, to aap ye kion socho gay k wo khud amal karta hai ya nahi..? Usko ZAROOR amal karna chahiye. Lekin agar wo nahi bhi kar raha lekin aapko kuch acha bata raha hai to kya hamain maan nahi lena chahiye ? what do u think ?

Aor behna, jese main ne bazi bhai k post k reply main likha hai, main ne forum pe aor real life dono main aisay topics par ye e dekha hai k aik behas s shuru ho jati hai, dono taraf k log doosri party ko blame karne lagtay hain ... aor positive reslts nahi aatay ..
Posted 17 Sep 2007

Doctor Sam says
friend_16 said:

Doctor Sam said:

As i said in other topics, Log buss behas karne main khushi mehsoos kartay hain... isi main time guzar jata hai ..

Aik baar meri class main ye topic chirda tha by boys side k larkiyan hijaab kion nahi letien... Aray Logo Aap pehle apni line to seedhi karo ... theek hai achi baat batao zaroor. lekin istarah nahi k attack karna shuru kar do...

Islam main achi baat batanay aor buri baat se rokne ka bhi sawaab hai, lekin aap impose nahi kar saktay.

Same problem ... humain sirf behas karni hai .. baat nahi sunni na samajhni hai ...

Behna.. what do u think aap k answers ka koi theek jawab day ga... ? bohat mushkil hai, aik useless discussion start ho jaye gi...

we come here to discuss different matters not to "argue" .. if someone is asking a question it doesn't means that he/she wants to argue.. as i said before as well that its a human right to know. let people clear their minds .. and if u think they are arguying simply don't reply...

F 16 JEE... mujhe lagta hai main ne apni baat theek lafzon main nahi kahi hai ...
Main ne kabhi bhi doosron ko FREEDOM OF EXPRESSION pe kisi qism ka aietraaz karne ki jurrat nahi ki ... Kion k mere khayal main ye munasib nahi hai ..

Main ne apni post ki wazahat bazi bhai aor behna k replies main kar di hai, aap bhi dekh lijye ...

mere observation main baar baar ye e aaya hai k aisay controversial topics AT THE END aik useless behas par khatam hotay hain,

Aor bilkul aakhri baat, aap ne jis post ko quote kiya hai, wo to main ne behna ko likha tha ...

I m leaving the discussion with the hope k iska positive rslt aaye ...
Posted 17 Sep 2007

Aasera baat tu tumhare sahi hai lekin mere khyal mein sirf head cover karne se koi acha nai ho jata hai uske amaal bhi achey hone chahe..
Posted 17 Sep 2007

Barsaat says
baki logon ko bad main jawab dongi,
abhi main bas mr nice guy ko yah kahnay ai thi kay pichlay pages par mairay topic bananay kay maqsad ko parhain
and plzz... yah niyat etc wali batain dosray topic main bi discuss ho rahi hain, plz yahan yah mozo na chairhain,hope aap bura nahin manain gay.
(and yes i agree with you)

the section which i have bolded .. us k liay he mujhay thora problem tha..

coz hum behas shoro nahi ker rahay idher, aur na he ye maqsad hai, bal k infact jaisa app nay ab kaha k freedom of expression ka sab ko right hai tu hum bas ye right use ker rahay hein...

i didn't mean to offend u.. app post kerna chahein zror karein per ye mat kahein k hum behas ker rahay hein..

just chill..
Posted 17 Sep 2007

Bazigaar says
Aasera said:

baki logon ko bad main jawab dongi,
abhi main bas mr nice guy ko yah kahnay ai thi kay pichlay pages par mairay topic bananay kay maqsad ko parhain
and plzz... yah niyat etc wali batain dosray topic main bi discuss ho rahi hain, plz yahan yah mozo na chairhain,hope aap bura nahin manain gay.
(and yes i agree with you)

i think...(which i some times do)......u will get to-the-point replies if u ask what excatally u wanna ask instead of giving an example cuz hum sab shampoo aur sabun se hath dho ker us example ke peechay par jain gae aur topic ka jo maqsad hae wo tain tain fish ho jae ga...in other words...i think u need to re-post the topic with it's original intentions
Posted 18 Sep 2007

Barsaat says
aap sahi kah rahay hain,
hmmm dobara say same topic, no, main first post edit kar daiti hon.

Posted 18 Sep 2007

Barsaat says
Doctor Sam said:

BUT there is a point... Dekho agar aap ko koi achi baat bata raha hai, to aap ye kion socho gay k wo khud amal karta hai ya nahi..? Usko ZAROOR amal karna chahiye. Lekin agar wo nahi bhi kar raha lekin aapko kuch acha bata raha hai to kya hamain maan nahi lena chahiye ? what do u think ?

pahli bat, batanay main and tohmat laganay ya kisi kay kirdar par ya amal par ungli uthanay main bohat FARQ hota hay. Koi mujhe koi achi bat 100 martba batay, i wont mind coz us main faeda maira hi hay, BUT as i said before kay main yah zaror daikhon gi kay wo yah bat mujhe samjhanay kay liyay kah raha hay ya NICHA DIKHANAY kay liyay.

BUT agar main pahlay say janti hon kay us shaks kay amaal kaisay hain, and us ki niyat ka andaza ho to tab uski bat mujh par kam hi asar karay gi

NAHIN main koi bi bat eyes band kar kay nahin maan sakti, i have to chk kay jo bat batai gai hay wo wakai main SAHI hay ya GHALAT?.
and kaafi SAHI baton ka, aksar islam say koi taluk nahin hota,
wo bas aik izafi soch hoti hay logon ki, kay aisa kar lo to acha hay.
and agar us ACHI/SAHI bat kay karnay/na karnay say mujhe feel ho kay aisa karna/na karna mairay liyay sahi/ghalat hay to main wohi karongi jo mujhe theek lagay ga.

Doctor Sam said:

Aor behna, jese main ne bazi bhai k post k reply main likha hai, main ne forum pe aor real life dono main aisay topics par ye e dekha hai k aik behas s shuru ho jati hai, dono taraf k log doosri party ko blame karne lagtay hain ... aor positive reslts nahi aatay ..

i know, but try main kia harj hay?
mujhe har bat main sawal pochnay ki adat bachpan say hay,
jab tak maira zameer mutmin nahin hota kisi bat say, main koshish karti rahti hon un sawalon kay SAHI jawab kay milnay ka.
and mainay apnay tajarbay say sikha hay kay JAB TAK INSAN KHUD NA CHAHAY, NA TO BAHS BARHTI HAY NA FIGHT HOTI HAY

bas insan ko ignore karna ata ho lol

and end main main kahon gi kay yah topic kisi aur simat chala gaya hay :D
kiya main admin/mod ko bol kar close karwa don?

Posted 18 Sep 2007

nikama says
aasera
us w.d.g.w.h.t.d? wale topic main main ne bhi yehi kaha tha k mujhe lagta he k hamain ab why dont boys keep beards? jaisa koi topic start kerna pere ga,jab bhi hum religion ko discrimination k liay use karain yeh ghalat ho ga
Posted 19 Sep 2007

Aasera said:

baki logon ko bad main jawab dongi,
abhi main bas mr nice guy ko yah kahnay ai thi kay pichlay pages par mairay topic bananay kay maqsad ko parhain
and plzz... yah niyat etc wali batain dosray topic main bi discuss ho rahi hain, plz yahan yah mozo na chairhain,hope aap bura nahin manain gay.
(and yes i agree with you)

lolz ok :p
Posted 19 Sep 2007

nikama says
beri jaldi maan gaya he
Posted 19 Sep 2007

Reply to Topic
Copyright ©2024 Janubaba.com - All Rights Reserved.- .017