iam sad today

1621 views 12 replies
Reply to Topic
madgirl*

Age: 124
Total Posts: 133
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
hi guys aaj me bari sad sad
yaar im really serious
aaj mai aftaar ki tayari karne k liye bhai k saath bahar gayi drinks lene.......qareebi shops band thi to socha kahi or se le aaye or jaha hum lene gaye waha hum ne 6-7 bachho ka ek group dekha ghareeb bache the lakin is se zyada dukh ki baat ye thi k un mai se har koi nasha kar raha tha koi songhne waala to koi injection ka koi charas ka to koi khud ko blade se zakhmi kar raha tha............. aate hi maine apne father ka wo article nikala jo unho ne street children per likha tha jis se mujhe pata chala k serf karachi ki sarrko pe aise 15000 bache hai jo drug adicts hai
lahore mai ye number 5000 peshawar mai 2500 or quetta mai taqreeban 800 bache
kab tak ye mushi or shareef apni siyaasat karenge?????????kab tak benazir or qazi husain mai ye aurat iqtadaar ki haqdaar hai ya nahi,,is ki larai chalti rahegi ??????????kabhi kisi ne in bacho ki taraf dihaan nahi do jo humara future hai inho ne hi to aage is mulk ko sambhalna hai lakin humari nayi nasal to....................
YA ALLAH AAJ MAI AAP SE DIL SE KUCH MAANGTI HOO OR WO YE K YAA TO MUJHE ITNI TOFEEQ OR QOOUAT ATA KAR K MAI IN BACHO K LIYE KUCH KAR SAKOO YA PHIR HUM SAB JAWANO MAI AHSAAS PEDA KAR K HUM SAB IN K LIYE KUCH KARE
Posted 14 Sep 2007

Barsaat says
azam to acha hay aap ka
but jab usa jaisay itnay power walay, rich mulq main kids aisa hi nasha kartay hain to hamari syasat to hay hi gandi, so koi umeed nahin hay.
and dusri bat aap in ki help kaisay karo gi? agar ilaaj kay liyay paisa do gi to wo nasha main urha dain gey.
agar ilaj karwana chaho gi to i dont think so kay wo aap ki bat manain, and mano agar maan bi gaey, to theek honay kay bad kia???
unko paisa chahiyay, studies kay liyay bi,and khana khanay kay liyay bi, to kia kia kuch karo gi aap?

Posted 15 Sep 2007

friend_16 says
kisi cheez ka irada kia jaiy tu usay poora bhe kia ja sakta hai .. aj kal tu phir bhe bohat se foundations start ho chuki hein.. jo k kaafi gareeb bachon ki help ker rahee hein ..

app he ki tarhaan aik larki nay apnay ghar mein gareeb bachon ko parahana shoro kia tha aur aj masAllah pori academy hai aur wo gareeb bachon ko free mein parhati hein .. kafi loog donations bhe daitey hein ..

if u are really touched and feel something for these children then atleast donate something for these foundations..
Posted 15 Sep 2007

madgirl* says
yes mai bhi ek organisation banaoongi in bacho k liye inshALLAH or in k liye living homes banaoongi jaha in ko ghar jesa maahol melega INSHALLAH
Posted 16 Sep 2007

welldone madgirl...there childrens need bright future,,ALLAH AAPKO APNE MAQSAD MAIN KAMYAB KAREY AMEEN
Posted 16 Sep 2007

Ashii says

i once heard abt these children
sirf ilm aur paisa,, iss k ilawa koi ilaj nahi hai
Posted 16 Sep 2007

madgirl* says
hmmmmmmmmm i will earn money for them inshALLAH mai koshish kark zarur dekhoongi or agar insan ki niyat achi ho to ALLAH zaroor help karta hai
Posted 17 Sep 2007

friend_16 says
let the jbians know as well if u have any plans to open an organisation or something.

remember one thing its not necessary that u have to start with a big organization or something, u can start with some little amount and with the donations, help and support either from ur family or frnds u can convert to a big organization..

all the best
Posted 17 Sep 2007

Barsaat says
wow wo song yad a gaya

hay jazba janoon to himmat na haar

best of luck girl
Posted 18 Sep 2007

nikama says
Ashii said:

i once heard abt these children
sirf ilm aur paisa,, iss k ilawa koi ilaj nahi hai

jin salon k paas ilm aur paisa donon hain vo bhi to yehi kuch kerte phir rahay hain.
asal main as a society hum logon ki priorities main hamare bache,hamara mahoul,hamara culture yeh sab kuch bohat peechay reh gaya he.ab hamari priority sirf paisa he jab tak as a nation hum log khud ko theek nahin kerte,individual efforts se kuch nahin hone wala,but i dont mean that we stop helping others on our own if the whole society isnt doing anything.
we must play our part.
best of luck mad girl,we need another million or more mad ppl like u
Posted 19 Sep 2007

Allah aapki dua kabool kare.
Khuda ne kabhi us kaum ki halat nahi badlee
jis ko apnee halat badalne ka khyaal na ho
Posted 30 Sep 2007

valandrian says
bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970
bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970bd43970

bd43970
Posted 20 May 2018

Posted 24 Sep 2018

Reply to Topic