Wohii moulaaqaateyn
wohii raateyn
wohii baateyn
zakhm-e-dill
ik doojey ko hum dikhaa chukkey
qissa-e-dard
ik doojey ko hum sounna chukkey
phir bhee ik jhijhak sii hey doonoon mein
joo jaatii hii naheyn
zubaan kahnaa too chahtii hey kuch
kah paatii hii naheyn
khamoshii key perahan mein
muhabbat apna rang
dikhaa too rahii hey
maajraa saaraa dill kaa
dheerey dheerey sey
ahsaas kii soorat
dilla too rahii hey
muddat hoeii hum doonoon
khush heyn issi haal mein
ajab saa lutf hey guzrey
maah o saal mein
sounoo
khwaab saarey saraab hooneyn sey pahley
ik doojey ko khooneyn sey pahley
iqrrar muhabbat kaa
hum kar deytey heyn
inn haseen lamhoon mein khushyoon key rang
bhar deytey heyn
ab chupp naa rahoo
hum bhee kahtey heyn
tum bhee kahoo
mujhey tum sey muhabbat hey
mujhey tum sey muhabbat hey,,,.
apni ik nazm aap key leyey