Muhabbat Aur Khuwahish Mein Kayii Benaam Rishtey Hain Magar Jo Ghor Se Dekhein To Donoo Mein Bohat Se Faaslein b Iss Tarah Mojood Hain Jaisy Samander Aik Hota Hay Magar Uss k Kinaray Ik Doojay Se SaraSar Ajnabi Aur Mukhtalif Raston Ko Chootay Hain So Aisa Hay..... Samay k Iss Samander Mein Jahan Har Shay Badaltii Hay Vohan Hum Tum b Badlay Hain....Badalna Tha k Rishtey b Hamary Aks Ki Surat Bohat Ahistagi Se iss Tarah Karwat Badaltey Hain Basa Aokaat Bistar Par Parri Chadar Pe Silwat Tak Nahi Parrti Na Aankhon Mein Safar Karty Purany Rung Hi Tabdel Hotay Hain Na Baaton k Tasalsul Mein Koi Deewar Aati Hay Bas Itna Hay..... k Khuwahish Ki Band Mutthi Se Vo Jo Rait Si Pal Pal Phisalti Hay Ussi k Beech Mein Shayed Vo Jazba b Kahin Hota Hay Jis Ko Pyaar Kehty Hain Muhabbat Naam Hay Jis Ka Kabhi Aisa b Hota Hay Humein Khud Apney Haathon Se Phisalti Rait Ki Raizish Ka Andaza Nahi Hota Magar Vo Girtii Rehti Hay Kabhi Hum Usko Phir Se Jama Karney Aur Uthaney Ki Koshish b Karty Hain Magar Din Raat Ki Sarkash Hawayein Iss Qadar Mitti Urrati Hain k Kuch b Ho Nahi Pata Yeh Dil Faryad To Karta Hay Lekin Ro Nahi Pata To Vo Aansoo k Jin Ko Iss Phisalti Rait Mein Bikhrii Muhabbat Ko Dobara Zindagi Dena Tha Aur Shadaab Karna Tha Nahi Behtay Vohi Aankhein k Jin Mein Har Gharrii Shammein Si Jalti Thin Unhi Chehron Pe Hoti Hain Magar Un Mein Magar Un Mein Muhabbat Aur Talluq Ki Purani Laow Nahi Hoti Zamana...Un k Ander Se Guzar Kar Khud To Janay Kis Taraf Jata Kahan Bisraam Karta Hay Magar Uss k Ghabr-e-Raah Mein Uljhay Rastay Kayii Chehry Badalty Hain Muhabbat Karney Walay Shakhs Aur Un Ki Muhabbat b Badaltey waqt Ki Yalgaar Se Bachney Ki Khatir Ik Nayii Surat Mein Dhaltay Hain Wafa...Haray Huye Maidan Se Jo Parcham Uthati Hay Unhein Lashkar Nahi Milta So Jaan-e-Jaan Agar Hum Tum Badaltay Waqt Ki Iss Taiz Aandhi Mein Abhi Tak Aik Hain Aur Ik Doojay k Liye Be Chain Rehtay Hain To Shayad Yeh Hamary Bakht Ki Khoobi Hamari KhushNaseebi Hay k Hum Donoo Guzartey Waqt Ki Sarkash Rawani Mein Bahey,Bhatkey To Hain Lekin Hamary Sahilon Ka Rukh Kisi Lamhey Nahi Badla Yeh Husn-e-Ittefaq Aisa Hay Jo Qismat Se Milta Hay Bohat Karrwa Sahi Lekin Yehi Sab Se Bara Sach Hay k Jo Lamha Guzar Jaye Vo Kitna b Muqaddas,Qeemtii Ya Khubsurat Ho Kabhi Wapis Nahi Aata Muhabbat Aur Khuwahish Aur Un k Darmiyan Phaily Hoye BeNaam Rishtey b Inhii Cheezon Mein Shamil Hain Jinhein Yeh Waqt Ka Darya Hamary Chahney Na Chahney Se Be Niaz-o-Be Khabar Ho Kar Purani Diary,Pichlay Calenderon Ki Tarah tabdeel Karta Hay Issay Ik Mojza Kahiye k Khuwahish k Safar Mein Hum Ne Jitney Morr Katay Jiss Qadar Rahwar Badlay Hain Vo Sab Ik Sath Badley Hain Na Girti Rait Badli Hay Na Apney Hath Badley Hain Issay Ik Mojza Kahiye k Hum Tum Saath Chaltay Hain Issay Ik Mojza Kahiye...!!!
Age: 124
7838 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Fairl_Girl said:

7522 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Mohabbaton mein dikhawe ki dosti na mila Agar gale nahi miltha tho haath bhi na mila Gharo pe naam the, namon ke saath ohade the Bahut talaash kiya koyee aadmi na mila
Tamaam rishto ko mai ghar pe chod aayee thi Phir us ke baad mujhe koyee ajnabhi na mila
Khuda ki itni badi kayiinaath me maine Bas ek shakhs ko maangi mujhe wahee na mila
Bahut ajeeb hai ye kurbathon ki dhoori bhi Wo mere saath aur mujhe kabhi na mila