^dewaja^ said:Tum kia ho Duniya ki nazar main
aik aam insan
ya ziada say ziada achay ya buray
per
meri nazar main tum seep may moti hou
tum lehro ki shararat ho
tum thandi dhoup ki hararat hou
tum barisho ki sada hou
tum ghamo main khushiyo ka ahsas hou
tum dharkano ki awaz hou
tum sada ho mairay piyar ki
tum hi humsafer tum hi manzil ho zindaygi ki
tum khud ko kabhi mat daikhna duniya ki nazar say
kiun kay tum khas ho
sansou ki saaz hou
Lashakir said:gudddJab Say Ehsaas Kay Shoulon Nay Bharakna Seekha
Shama -e- Zeest Nay Har Aan Pighalna Seekha
Teri Qurbat Nay Jalaey Thay Jo Is DiL Main Charag
Teri Doori Say Charagon Nay Bharakna Seekha
Aik San'nata Tha, Weeraan Thi Guzargah -e- Hayat
Janay Kab DiL Nay Mohabbat Ko Samajna Seekha
Aqal Walay Bhi Jahan Thokarain Kha Kha Kay Giray
Ham Nay Us Rah Say Darasal Sambhalna Seekha
Dil Ki Har Baat Negahoon Say Ayaan Hoti Hai
Ye Nazer Milnay Pay Is DiL Nay Samajna Seekha
Sher -e- Ulfat Say Nikal Na Paya Wo Kabhi
Jis Nay Is Raaz -e- Mohabbat Ko Samajna Seekha
Lashakir said:Jab Say Ehsaas Kay Shoulon Nay Bharakna Seekha