Age: 124
7564 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Aaj faraghat paaty hi maazi ka dafter khola hy Tanhai main beth k apna ek ek zakham tatola hy Chhan chuka hon jism-0-rooh per aai hoi kharashon ko Ulat pulat k dekh lia hy armano ki lashon ko Kamry main rakha tha ussy ya dil main kahin dafnaya tha Jaany woh anmool khazana main ny kahan chhupaya tha Saari umer ka hasil thi woh khoony wali cheez na thi SOOCH RAHA HON YAAD TERI GUM HONY WALI CHEEZ NA THI Wurq wurq dekha hy apni gard alood kitabon ko Jesy koi bydaari main dhond raha ho khuabon ko Aqal k hathon sy bhi akser nadani ho jati hy Buhat snbhaal k rakhny per bhi cheez kahin kho jati hy Apny sary ghar walon ko deewana sa lagta hon Iss kamry sy uss kamry main khoya khoya phirta hon Soch samajh ker dunya ki nazron sy chhupa ker rakha tha Main ny to uss yaad ko apny liy bacha ker rakha tha
Age: 124
7564 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Sitaroon ney kaha rim jim ka nam zindagi hai chand ney kaha musalsal safar ka nam zindagi hai baharooon ney kaha khushboon bakhairney ka naam zindagi hai Sooraj ney kaha roshni ka naam zindagi hai pani ney kaha rawani ka nam zindagi hai Ashiq ney kaha kisi ki yaad mein jalna zindagi hai parwaney ney kaha dosroon ke khatar jan dena zindagi hai Musafir ney kaha batakney ka naam zindagi hai bandey ney kaha bandagi hi zindagi hai phol ney kaha muskarana zindagi hai Deewaney ney kaha deewangi zindagi hai Raat ney kaha tareeki hi zindagi hai parindey ney kaha uran aik zindagi hai shama ney kaha dosroon ko roshni daina zindagi hai awara ney kaha awargi ka nam zindagi hai aur hum kehte hain zindagi jeene ka naam zindagi hai
Age: 124
7564 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
hum musafir hain ajnabi rahon ke na manzil milti hai na wapsi ka nishan zindagi ki uljhano main uljhe her pal dukh sehte hain hum jo ASEER_E_MUHABBAT hain hum jo AHL_E_QALAM hain HISAR_E_ZAAT ke dkhon ko kese bayan karain yeh harf sare marham nahi hain in ghamon ke ab to KHWAHISH_E_DIL hai aisa koi hurf ho jo dil ke sare DERD samait ley
Age: 124
7564 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
duniyaa se dil lagaakar duniyaa se kyaa milegaa yaad-e-Khudaa kiye jaa tujh ko Khudaa milegaa daulat ho yaa hukuumat taaqat ho yaa javaanii har chiiz miTane vaalii har chiiz aanii-jaanii ye sab Guruur ik din miTTii me.n jaa milegaa aataa nahii.n palaTakar guzaraa huaa zamaanaa kyaa Khvaab kaa bharosaa kyaa maut kaa Thikaanaa ye zindagii ga.Nvaa kar kyaa faayedaa milegaa