question abt giving blood

911 views 6 replies
Reply to Topic
Barsaat

Age: 124
Total Posts: 1440
Points: 0

Location:
Afghanistan, Afghanistan
Islam kiya kahta hay about giving blood?

chalo muslim ka muslim ko diya, yah theek hay i think
BUT Kafir ka muslim kay liyay theek hay ya nahin?

main is kay haq main ya against nahin hon,
coz mujhe kuch arsa hi hoa is baray main sochay hoay so all i wanna know is kay islam ki taleem kiya kahti hay

Aap logon kay jawab dainay say pahlay main kuch kahna chahti hon
a) blood to blood hota hay, but islam halal and haram ki bat ati hay na, to jo blood kafir ka hoga us main kiya haram khanay ka asar nahin hoga?

b)agar kisi nay jawab diya kay NAHIN LAGANA CHAHIYAY KAFIR KA BLOOD, to
islamic countries main to chalta hay, but ham jo out of country rahtay hain, and yahan agar koi accident etc ho to
hospital main pahlay ilaj kartay hain, unkay liyay sab say impo thing hoti hay JAAN BACHANA to
wo to zarorat ho to foran blood laga daitay hain.
to aisay main jab usay aisa shaks hosh aey to usay kiya karna chahiyay?
ab wo blood to body say nikalnay say raha.
so should he do sumthing?

------------------------------------

and blood say yad aya what about other body parts?
log eyes,kidney etc bi daitay hain.
mainay kahin suna tha kay aisa nahin karna chahiyay,
reasons yah sunay thay kay
a) murday ko aziyat feel hoti hay
b)marnay kay bad aap say aap ki har cheez ka hisab manga jaey ga (body parts) coz aap ki puri body aap kay pas ALLAH ki amanat hay.

to is kay baray main kiya pata hay aap ko?
and kiya in baton main say koi baat sach hay?

Posted 13 Dec 2007

Reply to Topic