Maa

1298 views 16 replies
Reply to Topic
ONLYARBAB

Age: 40
Total Posts: 7964
Points: 0

Location:
peshawar, Pakistan

MAA...


Jis Mein Simtay Saara Jahaan
Chota Sa Wo Aik Lafz Hai MAA

Is Rishtay Say Sab Hein Waqif
Per Koi Na Samjhay Kia Hai MAA

Jisa Nay Tum Ko Paida Kia
Us Hasti Ka Naam Hai MAA

Seenay Laga Kay Paala Kisnay
Jisnay Paala Wo Hai MAA

Pyaar-O-Mhabbat Karay Har Dum
Chahat Ka Aik Khazana Hai MAA

Jaan Bhi Nichawar Karday Jo
Qurbaniyon Ka Who Samandar Hai MAA

Qadmon Talay Hai Jannat Us K
Itni Azeem Hoti Hai MAA

Us Ki Azmat Un Se Poocho
Jin K Paas Nahin Hai MAA

Aaj Tum JO Kuch Bhi Ho
Hai Us K Peechay Tumhari MAA

Badal Nahin Us Ka Duniya Bhar Mein
Aik AIsa Lazawaal Rishta Hai MAA

Sada Rahay Salaamat Saya Us Ka
Aik Meethi Thandi Chaon Hai MAA


Posted 10 Feb 2008

Reply to Topic